Tuesday-19-03-24


Message – Mawa’ize Hasana

Jo shakhs Ulama ki majlis me shareek hota hai aur ALLAH TAALA ka kalaam sunkar us par amal karta hai to ALLAH TAALA usko 6 nematen ataa farmata hai: 1) Rizq e Halaal 2) Azaab e qabr se najaat 3) Dahine haath me naama e Amaal 4) BIjli ki tarah pul sirat se guzarne ki aasani 5) Paighambarou ke saath hasr 6) surkh yaqoot ka 40 darwaze wala mahel. (Mawa’ize Hasana,vol:1,pg:267)

Sahih Bukhari

Jab JUMA ka din aata hai to Farishte Masjid ke darwaze par khade hojate hain aur Aane walou ke naam likhte hain, sab se pehle aane wala Unt ki qurbani dene wale ki tarah likha jata hai , uske baad aane wala gae ki qurbani dene wale ki tarah , phir mendhe ki ,uske baad murghi ki, uske baad ande ki, likin jab Imaam Khutba dene khade hojate hai to ye Farishte apne rejister band karke khutba sunne me masroof hojate hain. (Sahih Bukhari,Hadith No:929)

Todays Date
1st Ramadan