Friday-19-04-24


Qurbani ki Fazilat

Sahaba Ekraam raziallahu taala anhum ne arz kiya: YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Ye qurbaniya kya hain? HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Tumhare walid Ibrahim Alaihissalaam ki Sunnat hai, Sahaba Ekram ne arz kiya: To isme hamare liye kya hai YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam? HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Chote se baal ke badle ek azeem neki hai, Sahaba Ekraam ne arz kya: YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Phir uoon ke baare me kya hukum hai? HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Uoon ke chote se baal ke badle ek azeem neki […]

Ibrahim Alaihis Salam Ka Waqia

Allah pak ne 80 baras ke baad Hazrat Ibrahim AS ko betay ki basharat di . Is waqt un ki zoja Sara bhi burhi ho chuki thin aur banjh thin to Allah pak ne AAp As ko amman Hajra jo k misar k badsha ki beti ya laundi thin mein se beta ata kiya jin ka naam ISmaeel tha. lekin phir Allah ka hukum huwa k inhain apni nazron se kahin door chor aao . to hazrat Ibrahim As ne poocha kahan chor aon to Allah pak ne aik farishta ko aap ki rehnumai k liye sath kiya k jahan […]

Qurbani K Ahkaam

1. Qurbani Karne Wale Apne Baal Aur Nakhun Na katain “Jise qurbani kerni hoti hai us ko chahiye ke Zilhaj ka chand dekhne se qurbani karne tak nakhun aur apne badan k baal waghera na kaatey aur ne he katwai ta k Hajiyon sey mushahabat ho jai k loog ahram ki halat main hajamat nahi kara sakty aur ta k qurbani ka her baal nakhun k liay jahanum sey azaadi ka fidya ban jai. 2. Qurbani WAJIB Hone K Liay Kitna Maal Hona Chahiye: Har baligh, muqeem musalman mard aur aurat, maalik-e-nisaab per qurbani WAJIB hai. Maalik-e-Nisaab hone se muraad yeh hai […]

Zil Haj Eid K Ahkaam

Zil Haj Eid K Ahkaam

Zil Haj ki 10 tareekh “Eid Ul Azha” hai. 1-Har musalman par 2 rakaat ba jamaat ba’tor Shukriya ke perhna wajib hai. Jis par jummah ki namaz parhna wajib hai. 2- Eid ul Azha k din darj zail chizien Masnoon or Mustahab hein: Subha ko bahot saweray uthna. Shriyat k mutabik apni aa’raish karna. Ghusal karna. Miswaak karna. Umdah kapray jo pas mojood hon pehenana. Khushbo lagana. Eid ki Namaz se pehlay koi cheez Na khana. Eid Gah mein Eid ki namaz parhna. Eid Gah subha saweray jana. Eid ul Azha ki namaz awwal waqt parhna. EidGah jatay waqt Buland […]

Todays Date
1st Ramadan