Thursday-25-04-24


Hazrat ali ra quotes

Hazrat Ali R.A Se Kisi Ne Poocha

Hazrat Ali Radiallahu Ta’ala Anhu Se Kisi Ne Poocha ” ILM Kya Hai ? ” Too Aap R.A Ne Farmaya…. “Agar Koi Tum Pe Zulm Kare Tou Usey Mua’af Kar Do, Agar Ta’aluq Torey Tou Jod Lo, Agar Koi Tumhai’n Mehroom Karey Tou Usey Nawaz Do, Agar Kisi Se Intiqam Lena Ho To Dar-guzar Kardo, Ghussey Main Aisi Baat Na Karo K Baad Main Nadamat Ho ” Ye “ILM” Hai …  

Aqwal Hazrat Ali R.A

Aqwal Hazrat Ali R.A

* Agar Raasta Khubsurat Hai To Pata Karo ke Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khubsurat Hai To Raste Ki Parwah Mat Karo. * Zindagi Ki Har Mod Par Sulah Karna Sikho Kyu Ke Jhukta Wohi Hai Jis Mein Jaan Hoti Hai Aur Akadna To Murde Ki Pehchaan Hoti Hai. * Jis Shaks Me Wafadari Na Ho Uske Saath Dosti Karne Ka Matlab Khud Ko Zaleel Karna Hai. Zindagi ko is Tarah jiyo jaise hamesha zinda rehna hai. Aur Aakhirat ki fikr aise karo jaise Agle hi Pal Marr Jana hai. * Zindagi Ko Zaruriyat Ki Taraf Le […]

khulafa rashideen

Khulafa E Rashideen

4 Khaleefa ke 4 Aqwal : * “Aise Shakhs ko Dost rakho jo Naiki kar ke Bhool jaye”. (Hazrat Abu Bakar Radiallahu Ta’ala Anhu) * “Maut ko hamesha Yaad rakho, magar Maut ki Arzoo kabhi na karo.”(Hazrat Umar Farooq Radiallahu Ta’ala Anhu) *”Insaan Zuban ke parde me Chupa ha” (Hazrat Usman e Gani Radiallahu Ta’ala Anhu) *”Hamesha Sach bolo ta ke Tumhe Qasam kane ki zarurat na pare” (Maula e Kainaat Maula Ali Radiallahu Ta’ala Anhu)   Related Link: Aqwal-e-Zarein Hazrata Ayesha (RA)

Todays Date
1st Ramadan