Friday-29-03-24


Nabi Ki Hadees

Nabi Ki Hadees

Hazrath Ibne Abbas (RA) riwayat karte hai ki Hazrath Abubakar Siddique (RA) ne arz kiya : Ya Rasoollallah! Aap par budapa aa gaya? Aap  sallallahu alaihi wasallam  ne irshad farmaya : Muhje… surah : Hud, surah: Waqiah, surah : Mursalat, surah : Amma yatasa alun aur surah :  iza shamsu kuwirat (Al Takweer) ne buda kar diya!   Faida : Buda islye kar diya ki in suraton me Qayamat  aur aakhirat aur mujrimon par Allah Taa’la ke azaab ka bada haulnaak bayaan hai! Related Links: Surah Hud Surah Al-Mursala surah amma yatasa alun Surat Al-Takweer

Allah ka Irshad Hai Ki

Allah ka Irshad Hai Ki

Allah Taa’la Ka irshad hai : Aur kisi momin mard aur momin aurat ke liye is baath ki gunjaesh nahi ki jab Allah Tallah aur unke Rasool sallallahu alaihi wasallam  kisi kaam ka hukm de dien to fir unko apne kaam mein koi akhtiyar baki rahe, yani iski gunjaesh nahi rehti ki wo kaam karien ya na kare, balki amal karna hi zaruri  hai aur jo shaks Allah Tallah aur unke Rasool  sallallahu alaihi wasallam ki nafarmani karega, To wo yakinan khuli hui GUMRAHI mein mubtala hoga. Allah Taa’la Ka irshad hai : Aur hamne har ek Rasool ko isi maksad ke […]

Todays Date
1st Ramadan