Tuesday-19-03-24


DUA KARNE KA TAREEQA KYA HA

Teen chezein mohabbat badhane ka zarya hai

Hazrath RIfaa’ah raziallahu taala anhu farmate hain: Jang- E- badar me meri aankh mein ek ter laga jiski wajeh se aankh phoot gayi, NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne uspar apna luaab e mubarak lagaya aur Dua farmayi, uske baad aisa hogaya jaise mujhe koi takleef hi nahi phunchi. (Baihaqi fi dalailun Nabuwwa,Hadith no:969) Teen chezein mohabbat badhane ka zarya hai. Salaam karna Dusron ko majlis me jagah dena muqatab ko behtar naam se pukarna. (Hazrath Umar e Farooq raziallahu taala anhu) Agar tum koi kaam ALLAH TAALA ki raza ke liye karo agarche wo thoda hi kyun na ho, Anqreeb ALLAH […]

sin hadith

Jo shaks raat me surah Yaseen ki tilawat karta

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jab do dost ALLAH TAALA ke liye Mohabbat karte hain to unme se jo apne saathi se zyada mohabbat karta hai wo ALLAH TAALA ka zyada mahboob hota hai. (Al Mustadrak,hadith no:7403) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jab tak banda apne musalman bhai ki madad karta rehta hai ALLAH TAALA uski madad farmata hai. (Sahih Muslim,hadith no:2699) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jo banda ALLAH ki raza chahte hue raat me surah Yaseen ki tilawat karta hai to ALLAH TAALA uski baqshish farmadete […]

Hazart Ali(RA)

Jis shakhs ne ALLAH TAALA ki Mohabbat ko

Aye Insaan! Agar tumhe yeh maloom hojaye ke sajde ke daouran tum par kitni rehmaten nazil hoti hai to tum kabhi sajde se sar uthayouge hi nahi. (Hazrath Ali raziallahu taala anhu) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jis shakhs ne ALLAH TAALA ki Mohabbat ko apne nafs ki Mohabbat par tarjehdi (yane aage rakha), ALLAH TAALA use logou ki taklifou se mahfooz farmayega. (Kanzul Ummal,hadith no:43127) Yaqinan ALLAH TAALA ne Imaan walou par bada Ehsaan farmaya ke unke darmiyan unhi me se ek azmath wale RASOOL ko bhaijha ,Jo un par uski Aayaten Tilawat farmate hain […]

Sin hadith

ALLAH TAALA ke raazi hone ki nishani ye hai ke

Hazrath Hasan Basri rahmatullah alaih farmate hai : ALLAH ki qasam! momin wo nahi hai jo ek mahina do mahina ya saal do saal amal kare, balke momin wo hai jo hamesha ALLAH TAALA ke hukum par chale aur ALLAH TAALA ki pakad se darta rahe. 4 qisam ke log aise hain jinhe ALLAH TAALA na jannat me dakhil karega aur na hi uski nematen chakayega. 1) Sharaab ka aadi 2) So’od khane wala 3) bagair haq ke yateem ka maal khane wala 4) waliden ka nafarman. (Al Mustadrak,Hadith no:7230) Qayamat ke din har shakhs apne sadqe ke saaye me […]

noor nabi

ALLAH TAALA ne tamaam cheezon se pehle kis cheez ko paida farmaya?

  Syeduna Jaber bin Abdullah Ansari Raziallahu anhu ne farmaya: main ne Hazrath RASOOLULLAH Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e babarkat me arz kiya: YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam! Mere Maa baap Aap par Qurban ! Mujhe batlaye ke ALLAH TAALA ne tamaam cheezon se pehle kis cheez ko paida farmaya? Aap ne irshaad farmaya: Aye Jaber ! Beshak ALLAH TAALA ne tamaam kayenaat se pehle tumhare NABI Ke Noor ko Apne Noor se paida farmaya,phir wo Noor Qudrat e Ilahi se jaha chahta tha sair karta raha, us waqt looh thi na qalam, Jannat na Dozaq, Aasmaan na Zameen , Chand […]

Kis waqt ki dua jald qubool hoti hai?

Kis waqt ki dua jald qubool hoti hai?

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e Aqdas me arz kiya gaya: Kis waqt ki dua jald qubool hoti hai? HUZOOR sallallahu alaihi wasallan ne irshaad farmaya: Raat ke aakhri hisse me ki gayi dua aur farz namaz ke baad ki jane wali dua jald qubool hoti hai. (Jame Tirmizi,hadith no:3499) Jo shakhs apne kisi musalman bhai ko musibat me tasalli deta hai to ALLAH TAALA qayamat ke din use izzat ka libaas pehnayega. (Al Targheeb Wal Tarheeb,vol:4,pg:344)

qurani dua

Har Takleef Wo Musibat ke Baad Kushadgi Hai

Hazrath Abu Huraira raziallahu taala anhu farmate hain: Main NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki baargah me chand khajoren lekar hazir hua, Aur Arz kiya: YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam! In par barkat ki dua farmayen, Pas Aap ne unhe jama farmaya aur un par Barkat ki dua farmayi. (Jame Tirmizi,vol:2, pg:224) NABI E RAHMAT Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Yaad rakho! ALLAH ki madad wo nusrat SABAR ke saath hi hai, aur har takleef wo musibat ke baad kushadgi hai, aur yaqinan har tangi wo mushkil ke baad Aasani hai. (Musnad Imaam Ahmed,Hadith no:2804) Aur jab quraan […]

waldain ke huqooq

Maa Baap ke Huqooq

MAA-BAAP  KE HUQOOQ, ADAAB AUR UN KE FAZAAIL: 1. Maa ke qadmo ke niche jannat hai. 2. Baap jannat ke darwazo me se beech ka darwaza hai. 3. Waalidain ki khoob khidmat kare, usse rizqaur umar me barkat hoti hai. 4. Waalidain ka aur unke rishte daar, dost ahbaab aur mutalliqeen ka ikram wa ehteraam kare. 5. Agar waalidain niche baithe ho to unchi jagah par na baithe aur na unchi awaaz me baat kare. 6. Agar waalidain kisi kaam se rooke to usi me bhalayi samajh kar ruk jaaye. 7. Waalidain boodhe ho jaye to unki har tarah se […]

Apni Qabar ki tayyari karne wala

4 Aqalmand shakhs : 1) wo shakhs jo duniya ko chodh dete hai is se pehle ke duniya use chodhde.. 2) Apni Qabar ki tayyari karne wala shakhs is se pehle ke wo usme dakhil hojaye.. 3) Apne Khaliq ko Razi karne wala shakhs is se pehle ke wo usse mile.. 4) Namazien Adaa karne wala shakhs is se pehle ke uski namaz padhayi jaye… 2 Nematen aisi hain : NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: 2 Nematen aisi hain ke aksar log us se gaflat me rehte hain. 1) Tandrusti 2) Fursat (Sahih Bukhari,Hadith no:6412) 2 […]

Hadith

Ek Momin Dusre momin ka bhai hota hai

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Momin Apne bhai ke liye Aaine ki tarah hota hai, Ek Momin Dusre momin ka bhai hota hai jo apne bhai ke nuqsan ko dur karta hai aur uski hifazat karta hai. (Al Adab Al Mufrad,pg:147) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jo meri ummat me bigadh ke waqt Meri Sunnat ko Mazbooti se thame rakhega uske liye ek shaheed ka sawaab hai. (Tabrani,Hadith no:5572) Hadees : Farman-e-Nabi (Sallalahu Alahi Wasallam) Hai Ke, “Jis Ne Meri Sunnat Ko Zinda Kiya, Usne Mujh Se Mohabbat Ki aur Jis Ne […]

good manners in islam

Ache Aqlaq

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Ache aqlaq khata’on ko is tarah pighladete hain jis tarah paani baraf ko, Aur bure aqlaaq amal ko is tarah kharaab kardete hain jis tarah sirka shahed ko kharaab kardeta hai. (Tabrani Kabeer, hadith no:10626) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Aye Abu bakar! Qasam hai us zaat ki jisne mujhe haq ke saath bhaijha hai, MERI HAQIQAT KO MERE RAB KE SIWA KOI NAHI JANTA. HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jisne mere sahaba ko bura kaha to us par ALLAH TAALA ki tamaam farishtou ki […]

6th month of islam

Jumada Al Thani – Sixth month of islam

Jumada-Al-Thani jumada al-Thani, The 6th month of the Islamic Calendar. Meaning Second month of summer. Also known as Jumaada al-Akhir and Jumada al-Akhira.The origin of the word is as follows: the word Jumda, from which the name of the month is derived, is used to denote dry parched land: land devoid of rain, and hence denote the dry months 03 Jumada al-thani, death of Muhammad’s daughter Fatimah in 11 AH 10 Jumada al-thani, victory to Ali in the Battle of Bassorah (Jamal) 13 Jumada al-thani, death of Umm ul-Banin (mother of Abbas ibn Ali) 20 Jumada al-thani, birth of Muhammad’s […]

i need you allah

Allah I Need You

لو تقدر تسعد احد ولو بكلمة..لا تقصر Never miss an opportunity to put a smile on someone’s face Eat and drink but do not waste by excess for Allah does not Love the Wasters.” (Surah Al Araf:31) Let your tongue never cease to be moist with the remembrance of Allah. [Jame Tirmidhi] فان الذكري تنفع المؤمنين. “Surely this advice or a sense of surrender shall benefit the believers”. (Surah Al Zariyat:55) Allah Says in Quran “REMEMBER ME I WILL REMEMBER YOU” (surah Baqrah|Verse 152) The Prophet Mohammed Sallallahu alaihi wasallam said : ” Remember Allah during times of ease and he […]

islami batain

Ghibat aur chugli imaan ko is tarah kaat deti hai

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Mujhe farz Namaz ke alawa Nafil Namaz ghar me padhna zyada pasandida hai. (Sunan e Ibne Majah,hadith no:1378) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: ALLAH TAALA kisi cheez ko aise pyaar aur Mohabbat se nahi sunta jitna ke wo us bande ki awaaz ko jab ke wo khush ilhani se Quraan padhe. (Sahih Muslim,hadith no:1839) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Logou par ek aisa zamana aayega ke insaan koi parwah nahi karega ke jo usne hasil kiya hai wo halaal hai ya haraam se […]

allahumma inni as aluka

Keep Calm and Pray to Allah

Allah Most High does not see your faces and your wealth, but sees your hearts and your deeds. (Sahih Muslim, Hadith No. 2564) قال رسول الله ﷺ والذى نفسى بيده لا يؤمن عبد حتى يحب لاخيه ما يحب لنفسه.. The Holy prophet Mohammed ﷺ said: “I swear by the Lord who controls my life that a person is not a true believer unless he likes for his brother what he likes for himself.” (Sahih Bukhar,vol:1,pg:6) “Whoever commits a sin while laughing will enter the Fire while crying.” [Hilyat ul-Awliyaa,vol:6,pg:185] 173 hadith found in ‘To make the Heart Tender (Ar-Riqaq)’ of […]

Camel

Ek Martaba NABI ﷺ ek baagh me tashreef legaye

Ek Martaba Rasool Allah Sallallahu alahi wasallam ek baagh me tashreef legaye, waha ek unth (Camel) khada tha,HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke didaar karte hi wo bilbilane laga uski aankhen aansu se bhar gayi,HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam uske qareeb jaakar uske sar par haath phere to wo chup hogaya, HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ye kiska unth hai? TO ek Noujawan Ansari Sahabi aaye, Aap Sallallahu aliahi wasallam ne unse farmaya: kya tum janwaron ke baare me ALLAH se nahi darte? jinko ALLAH ne tumhara tabe banaya hai,us unth ne shikayat ki hai ke tum usko bhuka rakhte ho aur takleef […]

khulfa e rashideen names

khulfa E Rashideen

There are few misled and corrupt people who refute the Caliphate of Hazrat Abu Bakr, Hazrat Umar and Hazrat Uthman (Radiallahu Ta’ala Anhum) and trust that Hazrat Ali (Radiallahu Ta’ala Anh) ought to have been the first Caliph. Hereunder we will Insha Allah discover that the Companions were picked as Caliphs precisely how Allah and His Beloved Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) expected them to be picked. It is therefore basic that we never question or refute the Caliphate of any of the Khulafa-e-Raashideen. The most incredible of the Blessed Companions is Hazrat Abu Bakr Siddiq, trailed (followed) by Hazrat Umar, […]

Teachings of the Holy Prophet Muhammad ﷺ

UK: Teachings of the Holy Prophet Muhammad (PBUH) key to fighting terrorism, extremism: Dr Tahir-ul-Qadri addresses ‘Rahmatun-lil-Alameen Conference’ The 36th annual Mawlid-un-Nabi (peace and blessings be upon him) Conference was held in the famous central Mosque Ghamkol Sharif, Birmingham, UK under the banner of Central Jamaat Ahle Sunnat and Overseas. The holding of this Conference was significant in the context of recent terrorist incidents in Europe and mulling ways and means to confront the situation. Shaykh-ul-Islam Dr Muhammad Tahir-ul-Qadri delivered his special address on the occasion. Thousands of people belonging to various walks of life from across the UK including […]

haya islam

Haya in islam

Ek Saheb HUZOOR Mohammed Mustafa ﷺ ki baargah e Aqdas me arz kiye: Meri ye arz hai ke ALLAH TAALA Qayamat ke din bandon ke saamne ruswa na kare, HUZOOR ﷺ ne irshaad farmaya: Apni Ismat (Izzat) ki hifazat karo ALLAH TAALA tumhe bandon ke samne ruswa nahi farmayega. (Kanzul Ummal,hadith no:44154) Shaitan sab se pehle insaan ki haya ko nishana banata hai taake jab uski haya chali jaye to aasani se gunah karsake… NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Haya Imaan ka hissa hai aur Imaan Jannat me lejane wala hai, Jab ke behayi zulm hai aur zulm jahannum me lejane […]

jumma hadees

Juma ka din

Hazrath Imaam Qastalani rahmatullah alaih farmate hain: Jab Juma ka din jisme Hazrath Syeduna Aadam Alaihissalaam ki taqleq hui ek aisi ghadi se khaas hua jisme jo musalman banda us waqt jo koi bhalayi talab karta hai to ALLAH TAALA usko ataa farmata hai, PHIR TUMHARA US WAQT KE BAARE ME KYA KHAYAAL HAI JISME SYEDUL MURSALEEN NABI E KAREEM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI WILADAT HUI. (Al Mawahibun Ladunniya,vol:1,pg:248)

protection from enemies dua

Protection From Enemies Dua

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne hazrath Abdullah bin khubaib raziallahu taala anhu se farmaya: Tum rozana subah shaam 3 martaba surah ikhlaas aur surah falaq aur surah Naas padha karo, ye surten har nuqsaan dene wali cheez se tumhari hifazat ka zarya honge.(Jame Tirmizi,hadith no:3575) Surat Fatiha Allah k ghazab se bachati hay, Surah Yaseen Qayamat k din piyaas se, Surah Waaqia fiker or faaqay se, Surah Mulk Azaab-e-Qabar se, Surah Kausar dusmunon ki dushmani se, Surah kaaferoun mout k waqt kuffar se, Surah ikhlas munaafiqat se, Surah Falak Hadson se, Soorah Naas wuswasoun se bachati hain Ye […]

charity in islam hadith

Do not buy what you gave in charity

It was narrated from ‘Umar, meaning, from his father, his grandfather ‘Umar, that: He gave a horse in charity at the time of the Messenger of Allah (peace be upon him), then he saw its owner selling it for a low price. He went to the Prophet (peace be upon him) and asked him about that, and he said: “Do not buy what you gave in charity.” (Sunan Ibn Majah , Vol. 3, Book 15, Hadith 2392) ” Hadhrat Abdullah bin Umar (May Allah be well pleased with him) says: “I have never seen anybody stronger and braver; more generous […]

nabi saw

Nabi Muhammad sallallahu alaihi wasallam

Jab HAZRATH NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki wiladat hui to saari duniya NOOR se mamoor hogayi, Aur FARISHTE apas me ek dusre ko KHUSHKHABRI dene lage, aur har AASMAAN me Zabarjad aur Yaqoot ka ek ek Sutoon lagaya gaya jiski wajeh se Aasmaan Munawwar hogaya, wo Sutoon Mala e Aala me Maroof hai, jise HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne meraj ki raat mulaheza farmaya to arz kiya gaya: yehi wo sutoon hai jo aapki WILADAT ki KHUSHI me nasab kiye gaye aur jis raat Aapki wialdat hui ALLAH TAALA ne HOUZE KOUSAR ke kinare par ek […]

isa alaihis salam

Hazrat Isa Alaihis Salaam

Hazrat Isa (Alaihis Salaam), The ascension to the heavens and his arrival to the earth are miracles that the Holy Qur’an reveals and the Hadith bears demonstration of. The Holy Qur’an reveals that the unbelievers conceived a plot to take the life of Hazrat Isa (Alaihis Salaam). However, the unbelievers failed, as Allah Ta’ala states: “Furthermore, they (infidels) formulated their plot. And Allah additionally devises his own particular plan. And apparently Allah is the best of planners. [Surah 3, Verse 54] This verse reveals the plot of the heathens to kill Hazrat Isa (Alaihis Salaam). In Tafseer Noorul Irfaan it […]

islamic hadees

Beautiful Hadith

Duniya ki khidmat ALLAH TAALA raza ke liye karo, Kyun ke duniya se tumhe kuch nahi milega. (Moulana Rumi rahmatullah alaih) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Sab se behtarien sadqa ye hai ke ek muslaman Ilm sikh kar dusre musalman ko sikhaye. (Sunan e Ibne Majah,Hadith No:243) Sunnat ke khilaaf karke salamati hasil nahi hosakti, Aur ALLAH TAALA ko naraaz karke maqlooq ki raza hasil nahi ki jasakti. (Hazrath Umar bin abdul aziz rahmatullah alaih) Sabar ka Imaan me Wahi maqaam hai jo Sar ka Jism me hai. (Hazrath Ali raziallahu taala anhu) Jo Shakhs kisi […]

islam valentine

Valentine day in Islam

It is not permissible for a Muslim to celebrate any of the festivals of the kuffaar, because festivals come under the heading of shar’i issues which are to be based on the sound texts. The scholars have issued fatwas stating that it is haraam to celebrate Valentine’s Day. 1 –Shaykh Ibn ‘Uthaymeen (may Allah have mercy on him) was asked: In recent times the celebration of Valentine’s Day has become widespread, especially among female students. It is a Christian festival where people dress completely in red, including clothes and shoes, and they exchange red flowers. We hope that you can […]

namaz

NAMAZ se apni zindagi me tabdili lao

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Agar tum me se koi shakhs ye malum hojaye ke apne bhai ki Namaz ke aage se guzarne se usko kitna Azaab hoga to wo 100 saal tak khada rahe to ye uske liye us namazi shakhs ke aage chalne se Behtar hai. (Sunan e Ibne Majah,hadith no:946) Jab tum apni zindagi ko behtar banane ke liye tabdili lana chahte ho aur shuruwat kaha se kare samjh na aaye to sab se pehle NAMAZ se apni zindagi me tabdili lao baaqi sab kam Durust honge…. Har dushmani ke baad Mohabbat ki […]

sajda in quran

Sujood in Quran

Jisko apne ALLAH ke saamne Sajde karne ki Toufeeq nahi hui us se bada koi badnaseeb nahi….. Bird In Sajdah : Connect To Allah in Sajdah : A rock prostrates similiar to muslims sajda pray to Allah A muslim in sajda is stronger than a King on his throne Subhan ALLAH The Physical Benefits of Salat/Namaz/Sajda Sajda sirf Allah Taa’la ki zaat ke liye Sujud : sajdah : Tree Perform ruku Miracles Of Allah :  

tauba dua

Tauba karne ki dua

Choti se choti neki ko mamoli na samjho, Mumkin hai ke wahi ALLAH TAALA ki Razamandi ka sabab ban jaye……. Aaj ki achayi kal ki burai ko peche daal degi, aur aaj ki burayi kal ki achayi ko peche daal degi. (Hazrath Yahiya bin Muaaz rahmatullah alaih) khwahishaat Apni Marzi Se Uthaye Hue Booj Hain, Agar Apni Parwaaz Buland Karna Chahte Ho Toh Booj Halka Rakhen..! Mere sahaba ke bare me meri hifazat karo (unki izzat wo ehteraam karo ) (aur unlogaou ki izzat wo ehteraam karo )jo unke baad aane wale hai phir unlogaou ki jo unke baad aane […]

Prayers at night in islam

Allah ki Ibadat

Momin pareshaniyon aur mushkilon par sabar kiye bagair Imaan ki mithas ko nahi paasakta.(Hazrath Junaid Baghdadi rahmatullah alaih) Sab Namazon ki hifazat kiya karo, aur khaas tour pe darmiyani namaz (yane Asar) ki, Aur ALLAH TAALA ke saamne Sarapa Adab wo niyaz ban kar qiyam kiya karo.(Surah Al Baqarah:238) NABI E KAREEM ﷺ ne irshaad farmaya: ALLAH TAALA irshaad farmata hai: Jo log meri Azmat aur jalaal ki wajeh se Apas me Mohabbat rakhte hain, Qayamat ke din unke liye Aise Noor ke member honge jin par Ambiya aur Shuhada bhi rashk karenge.(Jame Tirmizi,Hadith no:2390) NABI E KAREEM ﷺ ne irshaad farmaya: Jisne kisi […]

darood

Darood E Sharif

NABI E KAREEM ﷺ  ne irshaad farmaya: ALLAH TAALA ke kuch farishte zameen par phirte hain jo sab zikar ki mehfilon se guzarte hain to ek dusre ko kehte hain ke yaha baitho aur jab zikr karne wale dua maangte hain to wo farishte unki dua par Ameen kehte hain aur jab wo NABI E KAREEM ﷺ  par Durood bhejhte hain to wo farishte unke saath milkar Durood bhejhte hain yaha tak ke wo alag alag hojate hain phir farishte ek dusre ko kehte hain in khush nasibon ko khushkhabri aur saadat hai ke baqshish ke saath wapas jarahen hain. […]

dua in islam

Tum Log mujh se Dua kiya karo Main zaroor Qubool karunga

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Khair ki kitaab wo sunnat ki taleem dene wale ke liye samandar me machliyan bhi dua e maghfirat karti hai. (Al Targheeb wal Tarheeb:80) ALLAH TAALA ka irshaad hai: Tum Log mujh se Dua kiya karo Main zaroor Qubool karunga. (Surah Al Gafir:60) Namaz Momin ka Noor hai. (Sunan e Ibne Majah,hadith no:4350) Logon me sab se behtar wo shakhs hai jo insaniyat ko zyada faida puhchane wala ho. (Al Moujamul Aousat,hadith no:5949) Jab koi musalman apne musalman bhai ke liye uske pit piche dua karta hai to farishte kehte hain […]

quran taleem

Quran Pak ki Taleem ko Aam kare

Ek Aadmi Ro Raha Tha, Kisi Ne Usse Waja Puchi usne kaha – Mera 1 Beta Tha Maine use Padhaya Socha use Bada Aadmi Banaunga, uss ko Matric, INTER, B.A, M.A, aur Phir Baahar Padhai ko Bheja, Magar? Achank wo Beemar Ho Gaya aur Doctor Ne jawab De Diya, aur wo Apni Zindgi k Last Saanse Gin Raha Tha. 1 Din Bola – Abbu, Mere Certificate Le Aaye. Jb Main Laya Toh Bola -Abbu, ye Meri Sb Degreeyan Hai, Magar Abbu, Apne MUJHE “QURAN” Nahi Padhaya.. “KHUDA”ko kya Muh dikhaunga.? Hum me se koi b ye Msg Share Nhi krega […]

amal islam

Amal in Islam

Zindagi us waqt bahut zyada khubsurat hoti hai jab ke har cheez me ALLAH TAALA ka Shukar adaa kare, Jo cheez jaa chuki hai uspar bhi, Jo cheez ab hamare paas hai us par bhi, Aur Jo cheez milne wali hai us par bhi… Jo shakhs har amal e khair ko ALLAH TAALA ki taraf se jaanta hai aur ye samjhta hai ke us amal e khair ki toufeeq ALLAH TAALA ne Mujhe di hai, aur nafs ko usme dakhal nahi deta to wo khudpasandi aur takabbur se mahfooz rehta hai. (Hazrath Sheik Abdul Qadir Jilaani raziallahu taala anhu) NABI […]

Namaz aur Quran

Namaz aur Quran

Namaz ki fikar ko apne upar laazim karlo ALLAH KI QASAM! Duniya ki fikar se aazaad hojaouge,aur kamiyabi tumhare saath hogi. (Hazrath Ali raziallahu taala anhu) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Farz Namaz ke baad Raat ki namaz tamaam namazou se afzal hai. (Sahih Muslim) Hadith :  NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs isteta’at rakhne ke bawajood meri baargah me hazir na ho to usne mujh par zyadati ki. (Al Mawahibul Ladunniya,vol:12,pg:180) Jo shakhs kalaam ullah shareef ki taraf dekhta hai aur Tilawat karta hai ALLAH TAALA use 2 Sawaab ataa […]

Fajr Namaz

Ishraq Prayer

The Arabic word “Ishraaq” is the name given to the time of day when the sun has totally ascended (risen) in the mornings. The “ishraaq” prayers are a two-rakah supererogatory prayer offered after the sun has totally risen. It is the Sunnah of the Messenger of Allah ﷺ that he would lead the professors in the compulsory fajr prayer in the Masjid, then sit and commend and recall Allah Subhanah till the sun had totally risen; and afterward he would offer a two-rakah prayer and leave the Masjid (Mosque). This two-rakah prayer in the early morning after the sun has totally […]

namaz ishraq

Ishraq Ki Namaz

Namaz e Ishraq : Ishraaq, Chast or Salat ut Duha Ek hi Namaaz Hai, kuch aalimo ke nazdik ishraaq or chast alag alag hai, ishraq ki namaaz suraj tulu (sunrise) hote hi padh lena chahiye aur chast ki namaaz suraj tulu (sunrise) se zawal ke beech padna chahiye. Rasool Allah Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jisne Namaz e Fajar jamaat ke saath adaa ki aur Ishraaq tak Masjid me baitha raha phir 2 rakaat nafil namaz padhi to usko ek Haj aur Umre ka sawaab milega. (Jame Tirmizi,vol:1,pg:130) Related Links:  Namaz -e-Ishraq Nafl prayer

Todays Date
1st Ramadan