Thursday-25-04-24


Har wo kaam acha hai jisse Aakhirat ki bhalayi maqsood ho

Paak hai wo Zaat jisne apne banda e khaas (hazrath Mohammed Mustafa Sallallahu alaihi wasallam ) ko Raat ke muqtasar se hisse me Masjid e Haraam se Masjid e Aqsa tak Sair karayi , jiske atraaf humne barkaten rakhi hai , taake hum unhe apni qudrat ki nishaniyan dikhayen , bilashuba wahi sunne wala dekhne wala hai. (Surah : Bani Israeel: 1) Har wo kaam acha hai jisse Aakhirat ki bhalayi maqsood ho. (Hazrath Usman e ghani raziallahu taala anhu)

Rajab

Jis shakhs ne 27 rajab ka roza rakha uske liye 60 mahine roza rakhne ka sawaab hai

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jis shakhs ne 27 rajab ka roza rakha uske liye 60 mahine roza rakhne ka sawaab hai. (Al ghunyatut Talibi Tariqi lil haqqi,vol:1,pg:182) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Mahe Rajab me ek raat aur ek din hai jisne us din roza rakha aur us raat me ibadat ki to usne goya 100 saal roza rakha aur 100 saal Ibadat kiya. (Fazail ul Auoqaat lil imaam baihaqi,vol:1,pg:13) Jo koi 27 rajab ko roza rakhega aur iftaar ke waqt dua karega to uske 20 saal ke gunah maaf hojainge. […]

Todays Date
1st Ramadan