Thursday-25-04-24


TAHAJJUD ki badi FAZILAT hai

TAHAJJUD ki badi FAZILAT hai

HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Tum me kaoun meri tarah hai main apne parwardigaar ke paas raat guzaarta ho , mera Rab Mujhe Khilata aur Pilata hai. (Sahih Bukhari, Hadith No:1825) Jis buzrugh ko jo bhi NEMAT mili hai wo TAHAJJUD hi se mili hai, Isliye Namaz e TAHAJJUD ki badi FAZILAT hai.(Hazrath Muhaddise Deccan Abdullah Shah Naqshbandi Rahmatullah Alaih)

Jannat me dakhil

Jannat me dakhil hone ke baad

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jannat me dakhil hone ke baad ek pukarne wala jannatiyon ko ye khushkhabri sunayega. Tum hamesha zinda rahoge kabhi mout na aayegi, Tum hamesha sehatmand rahoge kabhi bimaar na hoge, Tum Hamesha jawan rahoge kabhi budhapa na aayega, Tum Hamesha khushaal rahoge kabhi pareshani na aayegi. (Sahih Muslim,hadith no:7336)

Todays Date
1st Ramadan