Friday-29-03-24


Roza

Ramzan Roza

NABI E KAREEM  (صلی اللہ علیہ وسلم) ne irshaad farmaya:ALLAH TAALA aur uske farishte Sehri khane walon par apni rehmatien nazil farmate hain. (Musnad Imaam Ahmed,Hadith no:11102) NABI E KAREEM  (صلی اللہ علیہ وسلم) ne irshaad farmaya:Jisne Bhool kar khaya piya wo roza na tode ye rizq hai jo ALLAH TAALA ne use ataa farmaya. (Jame Tirmizi ,Hadith No:721) Jisne Rozadaar ka roza iftaar karaya uske liye uske barabar sawaab hai, Rozadaar ke sawaab me kuch kami hue bagair…(Jame Tirmizi ,hadith no:807) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :Roza Dhaal hai, Jab tak ke usko phada na jaye. (Yane […]

Muhammad (SAW)

Jisne apne bacche ka naam MOHAMMED rakha

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jisne meri mohabbat ki khatir aur mere ism se barkat hasil karne ki niyyat se apne bacche ka naam MOHAMMED rakha to wo aur baccha dono JANNAT me dakhil honge. (Ruhul Bayaan,Pg:184) Ummul momineen hazrath AYESHA SIDDIQA raziallahu taala anha se riwayat hai ke NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne Hazrath KHADIJAT UL KUBRA raziallahu taala anha ko Duniya me JANNAT ka Angoor Khilaya.(Al Miujamul Aousat ,hadith no :6277) HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne Hazrath KHADIJA Raziallahu taala anha ki zindagi me dusra nikah nahi farmaya.(Sahih Muslim , […]

Todays Date
1st Ramadan