Tuesday-19-03-24


Quran

HOW WELL YOU KNOW YOUR HOLY QUR’AN

1. How many verses are in Holy Qur’an? A. 6235 B. 6236.✔ C. 6237 D. 6238 2. How many times is the word ‘Qur’an’ repeated in Holy Qur’an? A. 67 B. 68 C. 69 D. 70✔ 3. Which is the best drink mentioned in Holy Qur’an? A. Honey B. Milk✔ C. Water D. Juice 4. The best eatable thing mentioned in Holy Quran is? A. Honey✔ B. Milk C. Water melon D. Dabino 5. Which is the shortest Surah of Holy Qur’an? A. Falaq B. NASS C. IKLASS D. KAUSAR✔ 6. The most disliked thing by Allah Ta’ala though Halal […]

Hadith

Peer ke Din ka Roza

HUZOOR NABI E AKRAM Sallallahu alaihiwasallam se peer (monday) ke din roza rakhne ke baare me daryaafth kiya gaya to HUZOOR Sallallahu alaihiwasallam ne Irshaad farmaya: Isi din Meri wilaadat hui aur isi din mujh par wahi nazil hui. (Sahih Muslim,Hadith No:1162) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Khabardar! Duniya ke baare me jo kuch Main janta ho, agar tum bhi janloge to tumhe kabhi duniya me sukoon naseeb nahi hoga. (Mustadrak, hadith no:6640) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Apne bhai se muskurakar milne aur achi batou ka hukum dene aur bure kamou […]

Allahhuma ajirna minnar

Allahuma Ajirni minan naar

اَللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ Translation : “O Allah, save me from the fire (Jahannam).” Ameen Hadith : It was narrated that the Prophet Mohammed (Sallallahu alaihi wasallam) said: “When you offer Fajr Namaaz, then say before speaking to any of the people, اَللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ ‘Allahumma ajirni min al-nar (O Allah, protect me from the Fire)’ seven times. Then if you die on that day, Allah will grant you protection from the Fire. And when you pray Maghrib, then say before speaking to any of the people, اَللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ ‘Allahumma inni as’aluka al-jannah, Allahumma ajirni min al-nar (O Allah, I […]

Hadith

Quraan e kareem ki Tilawat

Hazrath Banda Nawaz rahmatullahi taala alaih farmate hain: Rozana sone ke waqt Aadmi ko apne din bhar ke Amal aur Qaoul ka Jayeza lekar sona chahye. NABI E KAREEM alaihiwasallam peer (monday) aur jumerat (thursday) ko roza rakha karte. (Jame Tirmizi,Hadith No:745) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: ALLAH TAALA farmata hai: Jo shakhs Quraan e kareem ki kasrat e tilawat ki wajeh se zikar aur dua na karsake to Main use Maangne walou se zyada ataa karta ho…. (Jame Tirmizi,hadith no:2926)  

Jannat Ul-firdous dua in arabic

Ask for Jannat Ul-firdous which is the Best

Abu Huraira Narreted: The Prophet Mohammed (Sallallahu alaihi wasallam) said, “Whoever has faith in Allah and His Apostle, offer prayer impeccably and fasts the month of Ramadan, will legitimately be allowed Paradise by Allaah, regardless of whether he battles in Allaah’s Cause or stays in the area where he is conceived.” The people said, “O Allah’s Apostle ! Shall we acquaint the people with the is good news?” He Prophet Mohammed (Sallallahu alaihi wasallam) said, “Paradise has one-hundred evaluations which Allaah has held for the Mujahidin who battle in His Cause, and the separation between each of two evaluations resemble […]

sunnah nail cutting

Can we get our hair and nails cut when unclean?

Cutting nails in Islam Question: When we are unclean and have to take a bath, can we get our hair and nails cut? Sometimes I end up doing so ? Answer: As per the Shariah, cutting nails or getting a haircut when in a state of ritual impurity (Janaabah) is Undesirable (Makruh). Thus, it is better that one shouldn’t do so. As mentioned in Fatawa A’alamgiri, Vol. 5, Pg. No. 358. And Allah knows best. Mufti Syed Ziauddin Naqshbandi Qadri [Professor, Islamic Law, Jamia Nizamia Founder-Director, Abul Hasanaat Islamic Research Center]    

Hatred in Islam

Usman (raziallahu taala anhu)

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e aqdas me ek shakhs ka janaza laya gaya ke aap iski namaz e janaza padhayen, to aapne uski namaz e janaza nahi padhayi, Sahaba Ekram ne arz kiya? YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Hum ne Aapko is se pehle kisi ki namaz e janaza tark farmate hue nahi dekha to, HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Ye shakhs Usman (raziallahu taala anhu) se bugz rakhta tha to ALLAH TAALA ne usko sakht napasand farmaya hai. (Jame Tirmizi, Hadith no:3709)

Hadith

Ilm Ki Zakat Ye Hai Ke Us Par Amal Kiya Jaaye

Har maal ki zakat hoti hai aur ilm ki zakat ye hai ke us par amal kiya jaaye. (Hazrath Nizam uddin Awliya rahmatullah alaih) Tabiyat ki narmi aur sakhawat insaan ko dushmanou ke dilon me bhi mahboob banadeti hai. (Hazrath Ali raziallahu taala anhu) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Bhalayi aur kitaab wo sunnat ki taleem dene wale ke liye samandar me machliyan bhi dua e maghfirat karti hai. (Al Targheeb wal Tarheeb:80) HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Aamaal me sab se afzal Amal ALLAH TAALA ke liye Mohabbat rakhna aur ALLAH TAALA hi […]

UMME KULSUM ( Raziallahu taala anha)

HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne Hazrath USMAN E GHANI raziallahu taala anhu se irshaad farmaya: Qasam KHUDA KI !Agar meri 100 ladkiyan hoti aur ek baad digar sab ka wisaal hota jata to main ek ke baad ek tumhare nikah me deta jata, yaha tak ke 100 mukammal hojati, Abhi Jibreel (Alaihissalaam) mere paas aaye the, unho ne arz kiya ke ALLAH TAALA ne ye hukum farmaya hai ke main UMME KULSUM ( Raziallahu taala anha) ko tumhare Nikah me do.. (Jamiul Ahadees,Hadith no:16107) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Har NABI ka ek […]

Masjid

HAZRATH USMAN BIN AFFAN Raziallahu taala anhu

AMIRUL MOMINEN HAZRATH USMAN BIN AFFAN Raziallahu taala anhu. ———————————————————————————————- Aapka naam e mubarak “USMAN” aur kunyat e sharefa “ABU ABDULLAH” hai. Aapko ye sharf hasil hai ke aapka nasab e mubarak Hazrath Abde Manaf ke baad HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke nasab e mubarak se jamilta hai. Aapki wiladat e mubaraka Aamul fel ke 6 te saal hui, Sab se pehle Imaan laane wale khushnaseebon me aap 4 the fard hai. 18 zilhajja 35 hijri juma ke din baad namaz e asar aapki shahadat hui, Aapka Mazaar e Mubarak Jannat ul Baqi shareef me hai.   2 Qadam ALLAH […]

The victory over Makkah

Among the conditions of the treaty of Hudaibiyah was that any of the tribes of Arabia could sign treaties with either of the parties i.e. with Muslims or the Quraish of Makkah. Thus, Banu Bakr sided with the Quraish and Banu Khaza’a with the Muslims. There was a very strong enmity between these 2 tribes. Thus, Banu Bakr with the help of the Quraish, attacked Banu Khaza’a. The Quraish of Makkah supplied men and weapons for this. Thus, the treaty of Hudaibiyah was broken by the Quraish themselves. Banu Khaza’a came to the Holy Prophet Mohammed ﷺ and requested His help. The […]

Hazrath Anas raziallahu taala anhu farmate hain

Hazrath Anas raziallahu taala anhu farmate hain:Meri walida mujh ko HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e Aqdas me lakar hazir hui, aur arz kiya: YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam! Ye Anas mera beta hai, Main aapke paas isko Aapki qidmat ke liye laayi ho, Aap ALLAH TAALA se iske liye Dua farmaye: NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Aye ALLAH iske maal aur Aoulaad ko zyada farmade! Hazrath Anas raziallahu taala anhu bayan karte hain: ALLAH ki Qasam! Mera maal bahut zyada hai, aur aaj meri aoulaad aur aoulaad ki Aoulaad 100 ke qareeb hai. (Sahih Muslim,pg:298) […]

hadith Zikr

Aye logo! ALLAH ka zikr kiya karo ke isme shifa hai

Jab banda ALLAH TAALA ki ita’at karta hai to ALLAH TAALA usse Mohabbat karta hai, aur jab ALLAH TAALA us se Mohabbat farmata hai to use apni maqlooq ke paas bhi mahboob banadeta hai. (Hazrath Abu Darda raziallahu taala anhu) Aye logo! ALLAH ka zikr kiya karo ke isme shifa hai. (Hazrath Umar e Farooq raziallahu taala anhu) ALLAH Jise chahta hai apni rehmat ke liye chunleta hai aur wo bada fazal farmane wala hai. (Surah Al Baqarah:105) Qayamat ke din na to tangdasti ka wazan hoga aur na maaldari ka waha sirf sabar aur shukar ka wazan hoga. (Hazrath […]

Zam Zam ka paani

HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Zam Zam ka paani agar koi dushman se panah hasil karne ke liye piyega to use panah dijayegi. (Sahih Muslim) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Haj me Maal kharch karna Jihaad me kharch karne se 700 hisse sawaab me zyada hai. (Shubul Imaan,Hadith no:3829) Haj ke baad duniya se uski raghbat kam hojaye aur Aakhirat ki taraf wo zyada mutawajjeh rahe. (Hazrath Abu Jaffar rahmatullah alaih) Hazrath Abu Huraira raziallahu taala anhu farmate hain: Main ne HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ki baargah e Aqdas me […]

Kaaba – Beshak Kaabe ko zaban aur 2 hont hain

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Us Zaat ki Qasam jiske Qabza e Qudrat me meri jaan hain! Beshak Kaabe ko zaban aur 2 hont hain, aur usne ALLAH TAALA ke darbar me shikayat ki, usne Arz kiya: Aye Parwadigaar! mere paas aane wale aur ziyarat karne wale kam hogaye, To ALLAH TAALA ne uski janib wahi farmayi: Beshak main aise insanon ko wajood baqshne wala ho jinke dil khouf wo khashyat se Mamoor aur unki jabinen Baargah e Ilaahi me Sajdarez rahengi, wo teri taraf aise mushtaq rahinge jaise kabutar apne ande ki taraf mushtaq rehta […]

Eid ke din sab se Behtar dirham wo hai

HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs Eid ke din 300 martaba “SUBHANALLAHI WA BIHAMDIHI” padhe aur Musalmanou ki rooh ko iska sawaab baqshe to har musalman ki qabar me ek hazaar Noorani Rahmaten dakhil hoti hai aur jab ye padhne wale shakhs ka inteqaal hota hai to ALLAH TAALA iski qabar me ek hazaar Noorani Rahmaten dakhil farmayega. (Mukashifat ul Quloob,pg:650) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Tumhari apni Eid ke din Dunba Zabah karne ke tumhare amal se tumhara parwardigaar khush hota hai. (Shubul Imaan,hadith no:7085) ALLAH TAALA ne Surah Kausar […]

Haj aur arfa

Arfa ke din kasrat se yehi dua Padhe

Hazrath Ali raziallahu taala anhu farmate hain ke:HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam farmate hain: Main aur Mujh se pehle Ambiya ki Arfa ke din kasrat se yehi dua rahi hai: لا اله الا الله وحده لا شريك له الملك وله الحمد وهو على كل شئ قدير، اللهم اجعل في قلب نورا و في سمعى نورا و فى بصرى نورا اللهم اشرح لى صدرى و يسرلى امرى اللهم انى اعوذبك من وساوس الصدر و فتنة القبر و شتت الامرى اللهم انى اعوذبك عن شر مايلج في اليل و من شر ما يلج في النهار و من شر ما هبت به […]

Arfa 9 Dhul Hijja Ka Roza

Jab Arfe ka din hota hai to ALLAH TAALA

NABI E RAHMAT Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jab Arfe ka din hota hai to ALLAH TAALA Asmaan e Duniya par Nuzul e Ijlaal farmata hai aur farishton ke saamne maidan e Arafat me jama hone walon par faqr farmata hai aur Irshaad farmata hai: Aye Farishto! Tum mere bandon ko dekho ke wo meri baargah me paraganda baal, gard Aalod chehron me dur daraz tang aur kushada raastou se chal kar yaha hazir hain, Tasbeeh wo tehleel, zikar wo talbiya karte hue mujhe pukaar rahe hain, Aye Faristo! Tum gawah raho Main ne un sab ko baqsh diya, […]

ALLAH ka zikr

HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Jab Raat ko Tashreef laate to Fiza me KHUSHBOO ke phelne se AAP Sallallahu alaihi wasallam ki pehchan hoti.. (Musannaf Ibne Abi Shaiba;hadith no:2632) Raat ko sote waqt sonchna chahye ke aaj kitne neik kaam kiye. (Hazrath Ali raziallahu taala anhu) Dua mangte raho kyun ke mumkin aur namumkin to hamari sonch hai ALLAH TAALA ke liye kuch bhi namumkin Nahi. Jis shakhs ne namaz qayem ki, zakaat adaa ki, Baitullah ka haj kiya, ramzan ke roze rakhe, aur mehmaan nawazi ki wo jannat me dakhil hoga. (Shubul Imaan,Hadith No:9593) Jis Dil me […]

hadith

Hazrath Hamza raziallahu taala anhu ka Naam e mubarak Aasman walon me likha hua hai

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne Haj me sar mundwane walou aur Baal Katarne walou ke liye Dua e Maghfirat farmayi hai.(Sahih Bukhari) Kisi musalmaan par koi musibat aaye to jo usku tasal’li de aur sabar ka dilasa de to us tasal’li dene wale ko bhi utna hi ajar(sawaab) milega jitna ke musibatzada ko milta hai.(Jame Tarmizi,vol:1,pg no:127) Jo shakhs apne upar Nek niyyati ka darwaza kholta hai, ALLAH TAALA us par TOUFEQ ke 70 darwaze kholdete hain,(Hazrath Junaid Baghdadi Rahmatullah alaih) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jis ne Baitullah shareef ka Tawaaf kiya aur 2 […]

Maa ke qadmo ke niche jannat hai

Maa ke kadmo ke neeche Jannat hoti hai

Ek teacher ne mazak mein Baccho se kaha Jo baccha kal jannat se Mitti layega my Usay inaam dungi Agle din teacher Class may baccho se Poochti hai Kya koi baccha mitti laya? Saare bacche khamosh rahtay hai Ek baccha ut kar Teacher k paas jata hai Aur kahta hai, Lijeye madam Mai laya hu jannat se mitti. Teacher us bacche ko daat thi hay aur mujhe bewakoof samja hay kya Kaha se laya hay mitti Rotay rotay baccha bola Meri maa k pair k nechay se…….fir vo teacher ro padi aur us bacche ko gale laga leya Na apno […]

The reward of sacrificing an animal

The word “Qurbani” implies accomplishing the closeness of Allah Most High. Everything that supports a bondsman slave in accomplishing this goes under the category of sacrifice. If a man spends his hours and seconds, his capabilities, wealth and empire and his life too, for acquiring approval and pleasure of Allah Most High, and still, after all that the obligation of love is not satisfied. We get the above lesson from the auspicious lives of the virtuous bondsmen of Allah Most High. Particularly one of a kind lessons of sacrifice appear in the entire life of Hadhrat Ibrahim (May peace be […]

What to do with the skin of the sacrificed animal

It is not right to give the skin to the butcher as his payment. If the skin is exchanged for something, which can be finished by using it, then exchanging the skin, and using that thing is not permissible in the light of the Shariah, like money. Obviously, money can only be used only when it is given to somebody and the desired thing is taken in lieu of that. Thus, selling the skin and using that money is impermissible in the light of the Shariah. If the skin is sold, then giving it to those who are needy is […]

How to perform Qurbani

How to sacrifice the animal for Qurbani To slaughter the animal as per the guidelines prescribed by the Shariah is called Qurbani. In Qurbani, cutting these 4 vessels is compulsory 1. The wind pipe. 2. The food pipe. 3. The 2 main arteries of the neck. Note: If the windpipe, food pipe and at least one of the arteries is cut, the Qurbani is permissible (Halal) Conditions for Qurbani: 1. The person who is performing the actual Qurbani should be a Muslim. 2. Should be sane. 3. Should be conscious. 4. To perform the Qurbani with the name of Allah […]

Hajj

The 3rd and 4th day of Haj

The third day of Haj: On the 10th of Dhul Hijjah, when you are sure that the sun has risen, then start for Mina from Muzdalifa and on the way, keep performing Dua, Istighfaar, Talbeeh and recite Durud profusely. The 10th of Dhul Hijjah is a very busy day for the Hajis. For this reason, the Salaat Ul Eid is not there for Hajis. The first thing to be done in Mina is to perform Rami (stoning). Perform Rami only on Jamra ‘Aqba (the big devil). Stop the Talbeeh before casting the first stone. The Sunnah and Mustahab time to […]

Zil Hajj ka Roza

Jo zilhajja ke shuru ke 10 din me kisi raat Ibadat kare goya wo Is saal Haj aur saal bhar Umra karne wale ke barabar ibadat karne wala qarar paayega, Aur jo shakhs in 10 dinon mein kisi din Roza rakhe to goya usne saal bhar ALLAH TAALA ki Ibadat ki. (Al Ghunya lit Taalibi Tariqil Haqqi, vol:2,pg:25) Ek Shakhs Arfaat me apni sawari par HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke paas hi tha achanak sawari par se gira aur inteqal kargaya, NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: usko gusl dekar Ehraam hi me dafan kardo ye Qayamat […]

First Ten Days of Zil Hajj

Importance Month Of  Zul Hajj (ZulHajj) First Ten Days of  Zil Hajj: Days of Virtue And Righteous Deeds   Hajj is performed in this month The first ten days of Zil Hajj are extremely sacred and good deeds are most beloved to Allah in these ten days The Prophet Mohammed ( صلى الله عليه و سلم) said , “No good deeds done on other days are superior to those done on these (first ten days of Dhul Hajja).” Then some companions of the Prophet said, “Not even Jihad?” He replied, “Not even Jihad”, except that of a man who does it by putting […]

Haj

Haj ko kya cheez wajib karti hai?

Jo shakhs har khair ke kaam ko ALLAH TAALA ki taraf se jaanta hai aur ye samjhta hai ke us ache kaam ki toufeeq ALLAH TAALA ne Mujhe di hai, aur ache kaam karne par apne nafs ki taraf se na samjhe to wo takabbur se mahfooz rehta hai. (Hazrath Sheik Abdul Qadir Jilaani raziallahu taala anhu) Ek Saheb NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki khidmat e Aqdas me hazir hokar arz guzar hue: YA RASOOLALLAH Sallallahu aliahi wasallam! Haj ko kya cheez wajib karti hai? HUZOOR sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Tousha e Safar aur sawari. (Jame […]

Zakat & Sadaqah

Beshak momin ka sadqa mehsar ke din uske liye saya e rahmat hoga

HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Main ne Tum me aisi cheez chodi ke jab tak tum use Mazbooti se pakde rahoge mere baad hargis gumrah na honge, ALLAH ki kitaab Quraan e Majid aur Mere Ahle Bait aur Meri Sunnat. (Jame Tirmizi,hadith no:4155) HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: ALLAH TAALA ne is Ummat ke liye Aasani ko pasand farmaya hai aur is par tangi ko na pasand farmaya hai, ye 3 martaba farmaya. (Al Moujamul Kabeer,Hadith No:707) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Beshak momin ka sadqa mehsar ke din uske […]

Todays Date
1st Ramadan