Friday-19-04-24


hadith Zikr

Aye logo! ALLAH ka zikr kiya karo ke isme shifa hai

Jab banda ALLAH TAALA ki ita’at karta hai to ALLAH TAALA usse Mohabbat karta hai, aur jab ALLAH TAALA us se Mohabbat farmata hai to use apni maqlooq ke paas bhi mahboob banadeta hai. (Hazrath Abu Darda raziallahu taala anhu) Aye logo! ALLAH ka zikr kiya karo ke isme shifa hai. (Hazrath Umar e Farooq raziallahu taala anhu) ALLAH Jise chahta hai apni rehmat ke liye chunleta hai aur wo bada fazal farmane wala hai. (Surah Al Baqarah:105) Qayamat ke din na to tangdasti ka wazan hoga aur na maaldari ka waha sirf sabar aur shukar ka wazan hoga. (Hazrath […]

Zam Zam ka paani

HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Zam Zam ka paani agar koi dushman se panah hasil karne ke liye piyega to use panah dijayegi. (Sahih Muslim) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Haj me Maal kharch karna Jihaad me kharch karne se 700 hisse sawaab me zyada hai. (Shubul Imaan,Hadith no:3829) Haj ke baad duniya se uski raghbat kam hojaye aur Aakhirat ki taraf wo zyada mutawajjeh rahe. (Hazrath Abu Jaffar rahmatullah alaih) Hazrath Abu Huraira raziallahu taala anhu farmate hain: Main ne HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ki baargah e Aqdas me […]

Kaaba – Beshak Kaabe ko zaban aur 2 hont hain

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Us Zaat ki Qasam jiske Qabza e Qudrat me meri jaan hain! Beshak Kaabe ko zaban aur 2 hont hain, aur usne ALLAH TAALA ke darbar me shikayat ki, usne Arz kiya: Aye Parwadigaar! mere paas aane wale aur ziyarat karne wale kam hogaye, To ALLAH TAALA ne uski janib wahi farmayi: Beshak main aise insanon ko wajood baqshne wala ho jinke dil khouf wo khashyat se Mamoor aur unki jabinen Baargah e Ilaahi me Sajdarez rahengi, wo teri taraf aise mushtaq rahinge jaise kabutar apne ande ki taraf mushtaq rehta […]

Eid ke din sab se Behtar dirham wo hai

HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs Eid ke din 300 martaba “SUBHANALLAHI WA BIHAMDIHI” padhe aur Musalmanou ki rooh ko iska sawaab baqshe to har musalman ki qabar me ek hazaar Noorani Rahmaten dakhil hoti hai aur jab ye padhne wale shakhs ka inteqaal hota hai to ALLAH TAALA iski qabar me ek hazaar Noorani Rahmaten dakhil farmayega. (Mukashifat ul Quloob,pg:650) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Tumhari apni Eid ke din Dunba Zabah karne ke tumhare amal se tumhara parwardigaar khush hota hai. (Shubul Imaan,hadith no:7085) ALLAH TAALA ne Surah Kausar […]

Todays Date
1st Ramadan