Usman (raziallahu taala anhu)
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e aqdas me ek shakhs ka janaza laya gaya ke aap iski namaz e janaza padhayen, to aapne uski namaz e janaza nahi padhayi, Sahaba Ekram ne arz kiya? YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Hum ne Aapko is se pehle kisi ki namaz e janaza tark farmate hue nahi dekha to, HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Ye shakhs Usman (raziallahu taala anhu) se bugz rakhta tha to ALLAH TAALA ne usko sakht napasand farmaya hai. (Jame Tirmizi, Hadith no:3709)