Thursday-28-03-24


Hadith

Hazrath Hasan aur Husain raziallahu taala anhuma

Hazrath saad bin waqas raziallahu taala anhu farmate hain: Main HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki baargah me hazir hua to dekha ke Hazrath Hasan aur Husain raziallahu taala anhuma Aap sallallahu alaihi wasallam ke shikam e mubarak par khel rahe the, To Main ne arz kiya: YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam! Kya aap inse mohabbat karte hain? HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Main inse kyun na mohabbat karo halanke ye dono Mere Phool hain. (Musnad,hadith no:1079)

Youm e Aashura

Aashura ka roza sabeqa ek saal ke gunah mitadega

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Tum log Aashura (yane 10 Muharram) ka roza rakho aur us se ek din pehle ya uske ek din baad roza rakho aur yahood ki mushabahat mat ikhtiyaar karo. (Zujajatul Masabeeh,vol:1,pg:572) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Mujhe ALLAH TAALA se umeed hai ke Aashura ka roza sabeqa ek saal ke gunah mitadega. (Jame Tirmizi,vol:1,pg:158) “YOUM-E-ASHURA KI EHMIYAT KYA HAI” By Mufti Syed Ziauddin Naqshbandi Sahab

Hadith

Allama Iqbal (DUA)

Allama Iqbal (DUA) ‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾ Koi urooj de na zawaal de, Mujhe sirf itna kamaal de, Mujhe apni raah me daal de, ki zamaana meri misaal de Teri rahmaton ka nuzool ho, Mujhe mehnato ka sila mile, Mujhe maal o zar ki hawas na ho, Mujhe bas tu rizq e halaal de. Mere zahen me teri fikr ho, Meri saans me tera zikr ho, Tera khauf meri nijaat ho, Sabhi khauf dil se nikaal de. Teri baargaah me Aye Khuda, Meri roz o shab hai yehi dua, Tu Raheem hai Tu Kareem hai, Mujhe mushkilon se nikaal de_ Aameen!

Todays Date
1st Ramadan