Tuesday-19-03-24


AZAAN

Jab shaitan Azaan ki Awaaz sunta hai to wo bhaagh jata hai

ALLAH TAALA jo apne bande se 70 ma’on se zyada mohabbat karne wala hai, wo kaise apne bande ko pareshani me dekh sakta hai, hum use yaqeen aur sacche dil se pukaar kar to dekhe wo zaroor hamari madad farmayega. Jab insaan ALLAH TAALA par pura yaqeen rakhe to wo mayoos ho hi nahi sakta kyun ke ALLAH pareshani se nikalne ka raasta nikaal hi deta hai. ALLAH TAALA ke razi hone ki nishani ye hai ke banda uski taqdeer pe razi ho. (Hazrath Ali raziallahu taala anhu) Zaruratmand ki madad karne wala ALLAH ka dost hota hai. (Hazrath Khawaja […]

dua

DUA ZAMEEN Aur AASMAAN ke darmiyaan Tehri hui rehti hai, Jab tak Tum

” Yaqinan DUA us waqt tak ZAMEEN Aur AASMAAN ke darmiyaan Tehri hui rehti hai aur usme se koi bhi cheez upar nahi jati Jab tak Tum apne NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam par DUROOD na padhlo…” (Jame Tirmizi,Hadith No:486) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya: Jab jumerat ka din aata hai ALLAH TAALA farishton ko bhaijhta hai jin ke paas chandi ke kagaz aur sone ke qalam hote hain wo likhte hai: kaun jumerat ke din aur jume ki raat Mujh par Kasrat se DUROOD E PAAK padhta hai. (Kanzul Ummal,Hadith No:2174)

Smile..It's Sunnah

Muskurana bhi Sadqa hai

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya : FATIMA (Raziallahu taala anha) MERE Jism ka tukda hain , pas jisne unhe Naraaz kiya usne Mujhe Naraaz kiya . (Sahih Bukhari, hadith no:3510) Aur jo shakhs ALLAH aur uske RASOOL (sallallahu alaihi wasallam) ki Ita’at karta hai aur ALLAH se darta hai aur uska taqwa ikhtiyaar karta hai pas Yahi log Kaamiyaab hone wale hai. (Surah Al Noor:52) HUZOOR E AKRAM Sallallahu Alaihi wa sallam Ne irshaad Farmaya: yaqinan Allah Taala har mamle me narmi karne ko pasand farmata hai. (Sahih Bukhari,Hadith No:5678) NABI E KAREEM Sallallahu Alaihi wa […]

Allah forgives all sins

Behtarien Amal Sabar aur maaf karna hai

Jab Dua mango to ye mat soncho ke ye qubool hogi ya nahi kyun ke Jab tumhe dua mangne ki toufeeq hui hai to qubul bhi zaroor hogi. Behtarien Amal Sabar aur maaf karna hai. Jo ALLAH ke kaamon me masroof hojata hai, ALLAH TAALA uske kaamon ko pura farmadeta hai.(Hazrath Abu Bakar Siddiq raziallahu taala anhu) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Hajar e Aswad JANNAT ka paathar hai. (Sunan e Nasai,hadith no:2935) HAZRATH ZAIN UL AABEDEN raziallahu taala anhu ka KHOUF E ILAAHI ALLAH ALLAH ❤Hazrath Imaam Zain ul Abeden raziallahu taala anhu jab wuzu farmate […]

Madina Shareef

Mera Haram Madina Hai

NABI E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Har Nabi ke liye koi na koi Haram hai, aur Mera Haram Madina Hai. (Al Moujamul Aousat,Hadith No:6607) NABI E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ghar tashreef laane ke baad sab se pehle Miswaak karte.(Sahih Muslim ,Hadith NO:253) kisi se badla lene me jaldi na karo hosakta hai ke use apni galti ka ehsaas hojaye aur kisi ke saath neki karne me der na karo.(Hazrath Shaqeeq balqi rahmtullah alaih) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Dilon ko bhi zang lagta hai jaisa ke lohe ko jab pani ki wajeh se zang […]

Surah Kausar

Benefits & Rewards of Recitation of Surah Al kausar

Surah Al-Kausar سورة الكوثر  Meaning (“Abundance”): Inna aa-thaina kal kausar. Fashal li li-rabbika wanhar. Inna shaniya ka huwal abtar. سورة الكوثر Surah Kausar in Quran: In this Surah of Holy Quran there are only 3 verses and it is the 108th surah of the Qur’an, and the shortest. What Allah says in this Surah? He says, “Indeed, We have granted you, [O Mohammed ﷺ], al-Kausar. So pray to your Lord and sacrifice [to Him alone]. Indeed, your enemy is the one cut off”. The translation of this Surah makes its meaning clear that Allah is the only one we should […]

Subhanallahi Wa Bihamdihi Subhanallahil Azeem

Subhanallaahil Azeem wa bihamdihi

NABI E KAREEM Sallallahu aliahi wasallam ne irshaad farmaya:Jis ne “Subhanallaahil Azeem wa bihamdihi ” padha uske liye jannat me khajoor ka darkhat lagaya jata hai.(Jame Tirmizi,Hadith No:3464) Aur namaz ki taraf har qadam chalna sadqa hai…..(Sahih Bukhari,Hadees no:277) Zohar se pehle 4 rakaat jinke darmiyaan salaam na ho, unke padhne walaou ke liye aasmaan ke darwaze khool diye jate hai.(Sunan e Abu Dauood,Hadees no:1270) Jo Shakhs Ilm e deen duniya ke liye hasil karega, uski barkat se mahroom rahega.(Hazrath Imaam e Azam rahmatullah alaih) Ek Martaba NABI E KAREEM Sallallahu alahi wasallam ek baagh me tashreef legaye, waha ek […]

ALLAH Ta’ala ! Her Kism Ke Fitno Se Humare Emaan Ki Salamti Ata Farmaye

Nabi-e-Paak ﷺ Ne Farmaya ✒ “(Aye Emaanwalo!) Jab Tum Dekho Ke Bukhl-O-Lalach Ki Hukmarani Hai, Aur Khwaish-e-Nafs Ki Pairvi Ki Jaati Hai Aur Har Sahib-e-Raye Apni Raye Par Itrata Hai To Uss Waqt Apni Fikr Karna.” (Jamia Tirmizi) Lihaza Jab Mu’ashare Ka Ye Haal Ho Jaye Ke Bakhil Aur Lalachi Logon Ke Hatho Me Mu’ashre Ki Hukumrani Hath Aa Jaye, Log Apne Nafs Ke Khwahishat Ki Pairwi Karne Lag Jaye, Salaa-Mashwara Dene Wale Khud Apne Raay Ke Khilaf Jane Lag Jaye Tou Uss Waqt Aye Eamaanwalo! Tum Apni Fikr Karo Ke Kahi Yeh Mu’ashra Tumhe Bhi Apney Fitno Me Lapet […]

Love Of Allah

Apne Rab se hamesha achi umeed rakho

Hazrath Anas Raziallahu anhu Farmate hain:Main ne HUZOOR-E-AKRAM Sallallahu alaihi wasallam Ki 10 Saal Khidmat ki Aur HUZOOR Ne Mujhe Kabhi Oof Tak Nahi Farmaya Aur Mere Kiye Par Ye Kabhi Nahi Farmaya ke Tumne Aisa Kyun Kiya Aur Main Ne Koi Kaam Na Kiya To Ye Na Farmaya ke Tumne Ise Kyun Nahi Kiya Aur HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam logon Mein Sabse Behtareen Akhlaaq Wale hain. (Jame Tirmizi,Hadees no:2147) Namaz padhne wala yaqinan shahinshah ka darwaza khat’khatate rehta hai aur jo darwaza khat’khatate rehta hai to umeed hai ke bahut jald uske liye darwaza khol diya jaye…(Sunan e Dailami) […]

Allah

Jo shaks Allah Taala se milna mahboob rakhe

HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Meethi cheez aur Shahed pasand farmate..(Sahih Bukhari,hadith no;401) Jo shaks Allah Taala se milna mahboob rakhe ,Allah Taala use apni rahmat me rakhna pasand farmata hai.(Sahih Bukhari,Hadees No:6507) Jo insaan Dusroun ko Shak ki nigah se dekhta hai, Haqiqat me wo apne Kirdaar ki Burai’an Dusroun me Talash karta hai. HUZOOR Sallallahau alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Tumhara bhalayi ka kaam karna tumhare hi haq me behtar hai. (sunan e abu dawood,Hadees No:1617) Jab insaan ki ankhon se nadamat ke aanso behte hain ,to uspar Rab ki Rahmat barasti hai. Sab se bade martabe […]

Dua

Dua for going upwards and downwards

Sayyidina Jabir bin Abdullah (RA) said, “We used to say (الله أكبر) Allahu Akbar when we went up a high place and Subhanallah   (سبحان الله ) when we went down a valley.” (Bukhari) One of the wisdoms of saying (الله أكبر) Allahu Akbar when going upwards is that one is always reminded that no matter how high he reaches, Allah is the Greatest and Highest. When going downwards, one says SubhaanAllah (سبحان الله ) to recall that Allah is free from all faults and He can never be lowered.

Sabar

Pareshani kamosh rehne se kam hojati hai

ALLAH Jise chahta hai apni rehmat ke liye chunleta hai aur wo bada fazal farmane wala hai.(Surah Al Baqarah:105) Pareshani kamosh rehne se kam hojati hai, Sabar karne se khatam hojati hai aur shukar karne se khushi me badal jati hai. ALLAH TAALA apne bandon ko unke Imaan ke mutabiq musibaton me daalta hai.(Hazrath Sheik Abdul Qader jilaani raziallahu taala anhu) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab tum namaz e janaza padhlo to uske liye khuloos e dil se Dua kiya karo. (Sunan e Abu Dawood,Hadith NO:3199) HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:” Agar […]

Hadith

Raat ko ek aisi ghadi (Waqt) bhi aati hai jis me koi musalmaan

NABI E KAREEM Sallallahu Alaihi wasallam ne Irshaad farmaya:Raat ko ek aisi ghadi (Waqt) bhi aati hai jis me koi musalmaan Allah Taala se dunya wo aakhirat ki koi bhi bhalayi maange to Allah Taala use wo ataa farmata hai aur ye ghadi har raat aati hai. (Sahih Muslim,Hadith No:757) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALLAH TAALA ke khouf se momin ki aankh se nikalne wala anso uske liye duniya aur uski har cheez se behtar hai aur ek saal ki ibadat se behtar hai. (Hilyatul Awliya,hadith no:11748) HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:” […]

salaam

Baat karne se pehle salaam karna chahye

Jab do musalmaan aapas me milte hain aur musafaha (handshake) karte hai to un dono ke juda hone se pehle unko baqsh diya jata hai.(Jame Tirmizi) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jo shakhs Meri is Masjid me is garz se aaye ke Neki karega, Neki sikhega ya sikhayega, to uska martaba itna baland hoga jitna ke Raah e Khuda me jihaad karne wale ka martaba hota hai. (Sunan e Ibne Majah) HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Baat karne se pehle salaam karna chahye. (Jame Tirmizi) NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Chota aadmi bade aadmi […]

Hadith

Which sin is the greatest in Allah’s Sight?

Narrated  ‘Abdullah: A man said, “O Allah’s Apostle! Which sin is the greatest in Allah’s Sight?” The Prophet Sallallahu alaihi wasallam said, “To set up a rival unto Allah though He Alone created you. ” The man said, “What is next?” The Prophet Sallallahu alaihi wasallam said, “To kill your son lest he should share your food with you.” The man said, “What is next?” The Prophet Sallallahu alaihi wasallam said, “To commit illegal sexual intercourse with the wife of your neighbour.” So Allah revealed in confirmation of this narration: ‘And those who invoke not with Allah, any other god. Nor […]

Durood e Ibrahim

Jo shakhs kisi kitaab me durood Likh kar

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs kisi kitaab me (Likh kar) mujh pe durood bhejhta hai to farishte uske liye us waqt tak baqshish ki dua karte rehte hain jab tak mera naam us kitaab me moujood rehta hai. (Al Moujamul Aousat,hadith No:1835) ALLAH HUMMA SALLE WASSALLIM ALA SAI-YE-DE-NA MUHAMMADIWWA ALA AALE HE A-DA-DA IN AA  MILLAHHE WA IF DH(W)A LE-HE

سورة الإخلاص

Surah e Ikhlaas 10 Martaba Padha

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne isrshaad farmaya: Jise ye pasand ho ke ALLAH TAALA ki baargah me pesh hote waqt ALLAH TAALA us se raazi rahe to use chahye ke Mujh par kasrat se Durood shareef padhe. (Firdous ul Akhbaar,Hadith no:6083) Neik Log apne anjaam se khoufzada nahi hote. (Hazrath Syeduna Imaam Husain raziallahu taala anhu) Aur ALLAH bahut bade FAZAL wala hai. (Surah Al Juma:4) Jisne 10 martaba Surah e Ikhlaas padha, ALLAH TAALA Jannat me uske liye ek mahel banata hai. (Musnad Imaam Ahmed) Jab tumhari mushkilen badhne lage to samjhlo ke ALLAH tumhe bahut bada […]

Always remember Allah when you are in hardship

The Prophet Muhammed Sallallahu alaihi wasallam said:”He who remembers his Lord and He who does not are like the Living and the Dead”. (Sahih Bukhari,Hadith No:2353) “Place your foot on the earth and know that it will be your grave in a short while.”(Hazrath Hasan Basri rahmatullah alay) We should always keep Allah in our mind and heart when we are in hardship or not

ablution

Ba Wuzu rehne Ki Istea’at Rakho

Agar tum hamesha ba Wuzu rehne ki istea’at rakho to aisa hi karo kyunke Malakul Mout jis bande ki rooh Wuzu ki halat me qabz karte hain uske liye shahadat likh di jati hai.(Kanzul Ummal,Hadith no:26060) Halaal Giza Aakhirat ke kamon me raghbat aur Ita’at e Ilahi se Mohabbat paida karti hai, jis se Qurb e khusawandi Naseeb hota hai.(Hazrath Ghouse Azam raziallahu taala anhu) Hazrath ANAS Raziallahuanhu farmate hai:HUZOOR E PAAK Sallallahu alaihi wasallam se jo bhi cheez maangi gayi AAP ne Ataa farmadi, ek saheb Aapki qidmat babarkat me hazir hue ,Aap ne unhe 2 pahadon ke darmiyaan […]

namaaz

Sabse pehle konsi NAMAZ kisne ada ki?

Kya ap jante hain? Sabse pehle konsi NAMAZ kisne ada ki? *FAJAR* *Hazrat ADAM Alaihissalam* ne subah hone ke shukar me pehli bar ada ki. kyunki apne *jannat* me kabhi raat nhi dekhi thi. *ZOHAR* *Hazrat IBRAHIM Alaihissalam* ne *Hazrat ISMAIL Alaihissalam* ke jan mehfooz rehney ki khushi ma pehli baar ada ki. *ASAR* *Hazrat UZAIR Alaihissalam* ne 100 saal bad dobara zinda kye jane k baad pehli baar ada ki. *MAGHRIB* *Hazrat DAOOD Alaihissalam* ne apni tauba k qabool honey k baad pehli baar ada ki. *apne neeyat 4 rakat ki* per tauba qabool hone per 3 rakat pe […]

Allah Is Great

True Story….”Takbir!”….”Allah-hu-akbar!!!”

There was once a man who was an enemy to Islam. He had three famous questions that no person could answer. No Islamic scholar in Baghdad could answer his three questions…thus he made fun of Islam in public. He constantly ridiculed Islam and the Muslims. One day a small boy, who`s age was 10, came along and heard the man yelling and screaming at Muslims in the street. He was challenging people openly to answer the three questions. The boy stood quietly and watched. He then decided that he would challenge the man. He walked up and told the man, […]

Sabar ka Imaan me Wahi maqaam hai jo Sar ka Jism me hai

 Jo Shakhs kisi Nemat par ALLAH TAALA ka Shukar adaa nahi karta to wo us Nemat ke zawaal ko dawat deraha hota hai. (Hazrath Haris rahmatullah alaih)   Sabar ka Imaan me Wahi maqaam hai jo Sar ka Jism me hai.(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)   NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Beshak ALLAH TAALA Musibat zada ki Madad karne ko pasand farmata hai.(Shubul Imaan,Hadith No:1664)   NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Meri SUNNAT ko us waqt Mazbooti se Thaame rakhne wale ke liye SHAHEED ke barabar sawaab hai.jabke Meri Ummat Fasaad me mubtala hogayi ho.(Al […]

Todays Date
1st Ramadan