Ramzan Ki Ehmiyat
Ramzan Bahot barkaton aur rahmaton ka mahina hai. Hazrath Muhammad (ﷺ) ne farmaya ki agar meri ummat ko iski ahmiyat pata chal jaaye to wo chahege ki saara saal hi ramzan jaisa ho jaaye. Is mahine mein 1 neki ke badle 70 neki likhi jaati hai. Gunahgaron ke gunah Allah maaf karta hai. Shaitan ko kaid kar diya jaata hai. Is mahine ki ahmiyat isi baat se lag jaati hai ki Allah ne saari Aasmaani kitabe (Taurat, Zubur, Injeel, Quran) Ramzan ke mahine mein utari. Quran loh-e-mehfuz se duniya waale aasmaan par pura ka pura isi mahine mein utara gaya […]