Tum Log mujh se Dua kiya karo Main zaroor Qubool karunga

dua in islam

dua in islam

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Khair ki kitaab wo sunnat ki taleem dene wale ke liye samandar me machliyan bhi dua e maghfirat karti hai.

(Al Targheeb wal Tarheeb:80)

  • ALLAH TAALA ka irshaad hai:

    Tum Log mujh se Dua kiya karo Main zaroor Qubool karunga.

    (Surah Al Gafir:60)

  • Namaz Momin ka Noor hai.

    (Sunan e Ibne Majah,hadith no:4350)

  • Logon me sab se behtar wo shakhs hai jo insaniyat ko zyada faida puhchane wala ho.

    (Al Moujamul Aousat,hadith no:5949)

  • Jab koi musalman apne musalman bhai ke liye uske pit piche dua karta hai to farishte kehte hain Ameen ALLAH TAALA tumhe bhi isi tarah ataa farmaye.

    (Sunan e Abu Dawood,hadith no:1534)

  • Jaisi Mohabbat tum apne waliden se karoge waisi mohabbat tum se tumhari Aoulaad karegi…..
  • ALLAH TAALA ka irshaad hai:

    Meri rehmat har cheez ko gheri hui hai, so main anqareeb us (rehmat) ko un logou ke liye likh dunga jo parhezgari ikhtiyaar karte hain aur zakaat dete rehte hain aur wahi log hi hamari aayatou par Imaan rakhte hain.

    (Surah Al Aaraaf:156)

  • Jo duniya aur aakhirat me salamati chahta hai use sabar se kaam lena chahye.

    (Hazrath Sheik Abdul Qader Jilaani raziallahu taala anhu)

  • Aye ALLAH ! Hame har us cheez ke qareeb farmade jisme Aapki Aur Aapke Habeeb ﷺ ki Razamandi Hasil ho…

‪#‎Ameen‬!!

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *

SIGN UP
to our Newsletter!
  • EID UL FITR Mubarak
  • Stay Tuned! Subscribe to our newsletter

We respect your privacy. Your information will not be shared with any third party and you can unsubscribe at any time