Jo shaks raat me surah Yaseen ki tilawat karta

sin hadith
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Jab do dost ALLAH TAALA ke liye Mohabbat karte hain to unme se jo apne saathi se zyada mohabbat karta hai wo ALLAH TAALA ka zyada mahboob hota hai.

(Al Mustadrak,hadith no:7403)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Jab tak banda apne musalman bhai ki madad karta rehta hai ALLAH TAALA uski madad farmata hai.

(Sahih Muslim,hadith no:2699)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Jo banda ALLAH ki raza chahte hue raat me surah Yaseen ki tilawat karta hai to ALLAH TAALA uski baqshish farmadete hain.

(Sahih Ibne Hibban,Hadith no:2574)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jo shakhs har juma ko waliden ki ya unme se kisi ek ki qabar ki ziyarat karta hai to uski maghfirat kardi jati hai aur use waliden ka farmabardar likh diya jata hai.

    (Tabrani Kabeer, hadith no:193)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    ALLAH TAALA ke bahut se farishte aise hain jo zameen par phirte rehte hain aur meri Ummat ki taraf se jo salaam bhaijha jata hai Mujhe puhnchate hain.

    (Sunan e Nasai,Hadith No:1282)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *