- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Logon par ek aisa zamana aayega ke insaan koi parwah nahi karega ke jo usne hasil kiya hai wo halaal hai ya haraam se hai.
(Sahih Bukhari,hadith no:2059)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jis basti me Azaan kahi jaye ALLAH TA’LA apne azaab se us din use aman deta hai.
(Al Moujamul Saghir,vol:1,pg:179)
- لا حولا ولا قوة الا بالله
Jannat ke khazanon me se ek khazana hai.(Sunan e Abu Dawood,hadith no:1526)
- NABI E KAREEM Sallallahu aliahi wasallam ne irshaad farmaya:
Apne bhai se muskurake milne aur achi baton ka hukum dene aur bure kamon se rokne ka sawaab sadqe ke barabar hai.
(Jame TIrmizi,Hadith no:1956)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Tum me Behteren shakhs wo hai jo Quraan Kareem Sikhe aur dusron ko sikhaye.
(Sahih Bukhari,hadith no:5027)
- Bada insaan wo hai jiski mehfil me koi khud ko chota na samjhe.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Main ne Tum me aisi cheez chodi ke jab tak tum use Mazbooti se pakde rahoge mere baad hargis gumrah na honge,
ALLAH ki kitaab Quraan e Majid aur Meri Bait aur Meri Sunnat.
(Jame Tirmizi,hadith no:4155)