Ashura (10 muharram) ka roza Hamare Rasool Mohammed Sallallahu Alaihi wa Sallam ki Sunnat hai. Aur Hamare Nabi Karim Sallallahu Alaihi wa Sallam ne apne ummatiyon ko 9 aur 10 ka roza rakhne kaha hai. Lehaja hame 9 aur 10 Muharram ya 10 aur 11 Muharram ka roza rakhna chahiye aur Humare Pyare Nabi Sallallahu Alaihi wa Sallam ki Sunnat par amal karna chahiye.
Sab Rozo Mein Afzal Ramadan ka roza, aur uskey Baad Muharram Ka Roza hai. Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hai Ke, Rasool Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka roza, aur Uskey baad Muharram Ka Roza Hain, Jo Allah Ka Mahina Hai Aur Baad Namaz-e-Farz Ke Tahajjud Ki Namaz Hain”.
(Sahih Muslim , Vol 3, 2755)
Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hai Ke, Ek Sahib Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay asallam) Kay Khidmat Main Hazir Ho kar Arz Karne Lagey Ke, “Ramadan Kay Baad Sabsey Ziyada Fazilat Kaun Say Rozey Ki Hain, Toh Aap (Sallallahu-Alaihi-Wasallam) Nay Farmaya, “Allah tala Ka Mahina Jisey Tum Muharram Kahtey Ho”.
Hazrath Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz ki : “Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara”?
To Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne farmaya Ki : “Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege” Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne Duniya se parda farma liya. (Sahih Muslim, Vol 3, 2666)
To maloom ye huwa ke 10 Muharram ka wahid Roza rakhna jayez nahi hai balki ya to 9 & 10 ka rakhlein ya phir 10 & 11 Muharram ka Roza rakhlein ek saath .
Related Searches:
Fasting of 9 and 10 Muharram
Fasting on 9th, 10th, and 11th of Muharram