* Ashura (9 Muharram) ki shaam 2 rakat Nawafil Namaaz Padhien. Har ek rakat me Surah Fateha ke badh Surah Ikhlas 3 martaba Padhien. Ye namaaz padne se qabar noor se hogi qayamat ke din tak inshAllah.
*SarkaR GAUS-E-AAZAM:
Shab-E-Aashura me namazo & duao ka ehtimam kare
jo is raat me 4 rakat pade alhamdu ke bad 50 martaba qul huwallah(surah ikhlas) padhe allah uske 50 saal pichhle & aainda k gunah maaf farmata hai aur jannat me 1000 mahal taiyar farmata hai
* Jo Shaks Dozakh Ki Aag Apne Upar Haram Karna Chahe
Wo Maah-E-MUHARRAM Ke Roze Rakhe
* Jo Shaks Yaum-E-Aashura ISMAD SURMA Aaankho Me Lagaye
To Uski Aankhe Kabhi Nahi Dukhegi
* Jis Ne Aashura Ki Sham Kisi Momeen Ki Roza Iftar Karaya
Usko Puri UMMAT Ko Roza Iftar Karane Ka Sawab Milega
Hadith 9 and 10 Ashura (Muharram) ka roza :
1. Abdullah Bin Abbas Radiallaho Taala anho se riwayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolallah Sallallaho alaihey wasallam Ne Aashurey ke din(10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz ki Ya Rasoolallah Sallallaho alaihey wasallam ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara,To Aap Sallallaho alaihey wasallam Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege,Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallaho alaihey wasallam Ne Wafat Payee.(isliye hum musalamn 9 and 10 dono ka roza rakhte hain)
2. Abdullah Bin Abbas Radiallaho Taala anho se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolallah Sallallaho alaihey wasallam Madiney Main Tashreef laye to Yahud ko dekha ki Aasurey Ke Din ka Roza Rakhte hain aur Logo ne un se pucha ki Kyon rakte hain to unhoney kaha ki ye wo din hai Jab Alah taala ne Musa Alaihey Salam aur Banee Israeel ko firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye Aaj hum Rojedar hain,Iski Taazaim ke Liye ,To Nabee Sallallaho alaihey wasallam ne farmaya hum tum se jyada dost hain aur Kareeb hain Musa Alaihey Salam ke,Phir Huqm Diya Aap Sallallaho alaihey wasallam Ne is (10 muharram) Roje ka.
3. Abu Hurairah Radiallaho Taala anho se rivayat hai ki Rasoolallah Sallallaho alaihey wasallam Ne farmaya Afzal Sab rozo main Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai Aur Baad Namaz farz ke tahajjud Ki Namaz Hai
4. Abu Qatada al-Ansari radi allaho anho se rivata hai ki Nabee sallallaho alaihey wasallam se Asura (10 Muharram) ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap Nabee sallallaho alaihey wasallam ne faramaya ye agle aane wale saal ke gunahon ka kaffara hai
Related Link :
9th And 10th Muharram 2015