- 15 wi Shaban ke 4 Naam hain :
1) Mubarak Raat
2) Bara’at Wali Raat
3) Rahmat Wali Raat
4) Inaam Wali Raat
(Tafseer e Kabeer ) - Beshak ALLAH TAALA har saal Khana e Kaaba par ek martaba Tajalli e Khaas farmata hai aur wo Tajalli farmana Shaban ki 15 th Raat (shab e baraat ) ko hota hai aur Is waqt momineen ke dil Kaabe ke Mushtaaq hote hain.
(Kanzul Ummal,hadith no:34713) - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Shaban ki fazilat Tamaam mahino par aisi hai jaisi meri fazilat Tamaam Ambiya Ekraam par…
(Al Ghunya At Taalibi Tariqi Lil Haqqi , vol :1,pg:188)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Shaban mera mahina hai , jis kisi ne Shaban ke mahine ki Tazeem ki Yaqinan usne mere hukum ki Tazeem ki , aur jisne mere hukum ki Tazeem ki to MAIN Qayamat ke din uske liye kaam banane wala aur Bhalayou ka zakhira rahunga.
(Baihaqi ,Shubul Imaan ,hadith no:3813)