2 SHAABAAN iMAM E AAZAM ABU HANIFA ki wisal ka din hai
Ap 80 hijri mein Iraq ke shaher kufa me paida hui.
Aap taabaeen ki jama’at me se hain.
Kayi Sahaba se mulaaqaat ka sharf haasil hua jinme hazrat e Anas bin Maalik, Sahl bin Saad, Abul Tufail Amir jaise ajillah Sahaba shaamil hain.
Imam e Aazam ke ustaad taqreeban 4000 hain jin me Imam Baaqar aur Imam Jaafar e Saadiq bhi hain.
Aap har juma apne waalidain ke isaale sawaab ke liye 20 sone ke sikke garibon me taqseem farmate the.
40 saal tak isha ke wuzu se fajr ki namaz adaa farmaye.
55 martaba hajj farmaya.
Aksar ek ya do rakat me Quran e paak khatm farmate the.
Jis maqaam par rooh qabz hui aapne wahan 7000 quran khatm farmaye.
Aapka wisaal 2 shaabaan 150 hijri me Baghdad e muqaddas me hua.
Aapki namaz e janaza 6 martaba padhaayi gayi aur har baar 50 hazaar logon ne namaz padhi.
2 shaabaan me khususan Is Azeem Imam ko khoob Isaale sawaab karein aur inka zikr aam karein.
(JAZAKALLAH )