4 mauqon par aasman ke darwaze khool diye jate hain

  • Jab HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Madine Munawwara ki galiyon me se kisi bhi gali se guzarte to Khushboo se pata chal jata Aap Sallallahu alaihi wasallam Is gali se guzre hain.

    (Majma’Uzzawaid,vol:8,pg:208)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    4 mauqon par aasman ke darwaze khool diye jate hain aur dua qubool hoti hai unme se ek KAABA SHAREEF par nazar padhte waqt Dua mangna hai.

    (Baihaqi fi Sunan e Kubra,vol:3,pg:360)

  • HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ke Asmaaye mubaraka me se ek isme mubarak HAASHIR bhi hai jiske mutaliq Aap irshaad farmate hain:

    LOGON KO MERE QADMON ME JAMA KIYA JAYEGA.

    (Sahih Bukhari,vol:2,pg:227)

  • Rahmat e Ilahi bande ke sab se zyada qareeb raat ke aakhri hisse me hoti hai agar tum se hosake to us waqt zikr karne walon me shamil hojao.

    (Jame TIrmizi,Hadith no:3928)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *