(9 aur 10 Muharram ka Roza )
Abdullah Bin Abbas (Radhiallahuanhu) se rivayat hai ki Jab Roza rakha RASOOL ALLAH (Sal lal lahu Alaihi Wa sal lam) Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Hukm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz ki Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara,To Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege,Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne Duniya se parda farma liya. (isliye hum musalman 9 and 10 dono ka roza rakhte hain)
Sahih Muslim, Vol 3, 2666
Abu Qatada al-Ansari (Radhiallahuanhu) se rivata hai ki RASOOL ALLAH (Sal lal lahu Alaihi Wa sal lam) se Ashura (10 Muharram) ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai
Sahih Muslim, Vol 3, 2747
NOTE:- 9 aur 10 ya phr 10 aur 11 Ka ROZA Rakh sakte hai…