Ahle Jannat ki Aourton me Afzal tareen 4 hain

Subhan Allah
  • Be sukoon dilou ko Rahat ALLAH SUBHANAHU WA TAALA ke zikar se milti hai…
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya;Ahle Jannat ki Aourton me Afzal tareen 4 hain:

    Khadija bint e khuwailad,
    Fatima bint e (Hazrath ) MOHAMMED (sallallahu alaihi wasallam),
    Asia bint e mazahim,
    Maryam bint e Imraan (alaihissalaam).

    RAZIALLAHU TAALA ANHUNNA AJMAEN.

    (Sahih Ibne Hibban,Hadith no:7010)

  • Dunya me Raahat ke darwaze ALLAH ki Mohabbat se khulte hain, Jise ALLAH Dost rakhta hai, us par Duniya Aur Aakhirat me koi Tangi nahi hai.(Hazrath Sheik Abdul Qader Jilaani Rahmatullah Alaih)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :FATIMA to bas mere jigar ka gosha hai ,unhe Takleef dene wali cheez MUJHE takleef deti hai.

    (Sahih Muslim, hadith no:2449)

  • HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Aye FATIMA! Kya tum nahi chahti ke tum tamaam jahanou ki Aourtou, Meri is Ummat ki Tamaam Aourtou ki, aur Mominen ki Tamaam Aourtou ki SARDAAR HO!

    (Mustadrak,Hadith no:4740)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Fatima Mere JIsm ka tukda hai, ise takleef dene wali cheez mujhe takleef deti hai.

    (Sahih Muslim,Hadith no:2449)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam HAZRATH SYEDA FATIMA Raziallahu taala anha se farmate :(FATIMA ! )Mere maa baab tum par Qurbaan ho…

    (Ibne Hibban ,hadith no :696)

  • Agar Insaan ALLAH par bharosa na kare aur ibadat farishtou ki jitni kare to wo ALLAH ke yaha Qubool na hogi.

    (Hazrath Syeduna Owais e Qarani raziallahu taala anhu)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *