Ramzan Ki Ehmiyat

Ramzan kareem ki Ehmiyat

Ramzan Bahot barkaton aur rahmaton ka mahina hai. Hazrath Muhammad (ﷺ)  ne farmaya ki agar meri ummat ko iski ahmiyat pata chal jaaye to wo chahege ki saara saal hi ramzan jaisa ho jaaye.

  • Is mahine mein 1 neki ke badle 70 neki likhi jaati hai.
  • Gunahgaron ke gunah Allah maaf karta hai.
  • Shaitan ko kaid kar diya jaata hai.
  • Is mahine ki ahmiyat isi baat se lag jaati hai ki Allah ne saari Aasmaani kitabe (Taurat, Zubur, Injeel, Quran) Ramzan ke mahine mein utari.

Image result for taurat zabur injil quran

Quran loh-e-mehfuz se duniya waale aasmaan par pura ka pura isi mahine mein utara gaya aur waha se 23 saal mein thoda-thoda haalat ke hisab duniya mein bheja gaya.

Hazrath Ibrahim (alyhissalam) ke sahife isi mahine ki 3 taarikh ko utaare gaye.
Hazrath Dawood (alyhissalam) ko zubur 18 ya 21 ramzan ko mili,
Hazrath Moosa (alyhissalam) ko Taurat 6 ramzan ko di gai,
Hazrath Esa (alyhissaslam) ko injeel 12 ya 13 ramzaan ko di gai.

Sochne waali baat hai ki Allah ko ramzan ka mahina kitna pasand hai ki bade-bade kaam isi mahine mein kiye. Isliye hum bhi is mahine ki ahmiyat ko samjhen aur Allah ki ibadat karke, roze rakh kar iska pura faida uthaye.

Allah hum sabko bhi is mahine ki ahmiyat samajhne aur iska haq ada karne wala bana de. Aameen.

 

JANAAT MAANGNE KI DUA:

“Allahumma inni asalukal jannah”

Dozak se bachne ki dua:

” Allahmma ajrini minannar”  

Plz Foward to all, jitne log padhenge apko utna sawab milega

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *