- لا حولا ولا قوة الا بالله
Jannat ke khazanou me se ek khazana hai.(Sunan e Abu Dawood,hadith no:1526) - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Zuhar ki 4 sunnaton ka sawaab aisa hi hai, Jaise Tahajjud ki 4 Rakaat ka, Zuhar ke waqt ALLAH ki tamaam maqlooq uski Hamd o Sana Bayaan karti hai.(Jame Tirmizi)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab log majlis e zikar me baith kar ALLAH TA’LA ka zikar karke uthte hain to unhe kaha jata hai: Khade hojaou! ALLAH ne tumhare gunah baqsh diye hain, Tumhare gunah nekiyou me badal diye gaye hain.
(Shubul Imaan,Hadith no:695)
- Sabar ka Imaan me Wahi maqaam hai jo Sar ka Jism me hai.(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- Hazrath Ali raziallahu taala anhu farmate hain:Main ne HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam se pehle aur baad aapki tarah kisi ko na dekha.(Shamail e Tirmizi,pg:2)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya;lazzat’on ko khatam karne wali cheez yane ” MOUT ” ko kasrat se yaad karo.(Jame Tirmizi)
- kisi se badla lene me jaldi na karo aur kisi ke saath neki karne me der na karo.(Hazrath Shaqeeq balqi rahmtullah alaih)
- ALLAH TA’LA ke paas sab se zyada mahboob sifaat ye hai:
1) Ghamgeen afraad ki faryaad sunna
2) Miskin’on ki hajat puri karna
3) Bhok’on ko khana khilana(Sultan ul Hind Hazrath khaja e Khajgaan Moin uddin Rahmatullah Alaih)