- Sahaba Ekraam raziallahu taala anhum ne arz kiya:YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Ye qurbaniya kya hain?HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Tumhare walid Ibrahim Alaihissalaam ki Sunnat hai,
Sahaba Ekram ne arz kiya:
To isme hamare liye kya hai YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam?
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Chote se baal ke badle ek azeem neki hai,
Sahaba Ekraam ne arz kya:
YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ! Phir uoon ke baare me kya hukum hai?
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Uoon ke chote se baal ke badle ek azeem neki hai.
(Sunan e Ibne Majah,hadith no:3247)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Aadmi qurbani ke din koi amal nahi karta jo ALLAH TAALA ke paas khoon bahane se zyada pasandida ho,Yaqinan wo qayamat ke din apne singh, baal aur khurou ke saath aayega,
Aur Qurbani ka khoon zameen par girne se pehle ALLAH TAALA ki baargah me qubuliyat hasil karleta hai,
To Tum khush dili ke saath Qurbani kiya karo.
(Jame Tirmizi,Hadith no:1572)
- Qurbani ka na gost ALLAH TA’LA ko puhanchta hai aur na khoon likin tumhara Taqwa uski baargah me baaryaab hota hai.
(Surah Al Haj:37)
- ALLAH TA’LA ne Surah Kausar me Qurbani karne ka hukum Irshaad farmaya:
To Aap apne Rab ke liye Namaz padhye aur Qurbani kijiye.
(Surah Al Kausar:2)