Hazrath Abu Hurairah Radi allaho anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
“Hamara Rab har Raat Aasman-e-Duniya ki taraf Nuzul farmata hai us waqt jab Raat ka aakhri tihayee hissa baqi rah jata hai aur farmata hai, Kaun hai jo Mujhse Dua karta hai ki main uski Dua Qubul karu? Kaun hai jo Mujhse Mangta hai ki main usey du? Kaun hai jo Mujhse Bakhshish talab karta hai ki main uski Bakshish karu? Jo Tahajjud ki namaz padh kar dua maangta hai, besak uski dua qabool hoti hai.
1. Tahajjud ki namaz jahannum ki aag ko bujhati hai.
2. Tahajjud guzar log salamti ke sath jannat mein daakhil hon gay.
3. Tahajjud Qabar ki wahshat se bachata hai.
4. Raat mein jab sub sorahe hon us waqt Allah ki ibaadat karna nehayat hi azeem sayadat hai. Na maalum kon si ghari maqbulyat ki ho aur hamari aakhrat sanwar jaye.
5. Aadhi raat ke waqt do rikat parhna din ki har azeem nemat se bhi azeem tareen nemat hai.
6. Raat ki ibaadat hamesha neik logon ka maamul rahi hai aur yeh Allah taala ke qurb ka zareeya hi hai. aur gunahon ka kuffarah bhi. Nez is se jismaani bimaariyan bhi dur hoti hain.
Tahajjud Namaz ka Tarika:
Jo nawafil isha ki namaz parhne ke baad raat so kar uthne ke baad parhe jaate hain un ko tahajjud kaha jata hai. Aur raat ke nawafil din ke nawafil se afzal hain. Sahi muslim mein marfu-an hai “ farzon ke baad afzal namaz raat ki namaz hai.
Tahajjud ke Liye Sona Shart Hai:
salatul lail ki aik qisam tahajjud hai keh isha ke baad raat mein so kar uthain aur nawafil parhain sone se qabal jo kuch parhain woh tahajjud nahi.
Tahajjud ki Rakatein:
Kum az kum tahajjud ki do rikatain hain aur hazrat Muhammad (SAW) se 8 tak sabit hain.
Tahajjud ki Surtain:
Aala Hazrat Molana Shah Ahmad Raza Khan(RA) farmate hain “ tahajjud mein ho sakay to jitna Quran yaad hai woh tamam parh lein. Warnah yeh bhi ho sakta hai keh har rikat mein surah fatiha ke baad teen teen bar surah Ikhalaas parh lein keh is tarah har rikat mein Quran khatam karne ka sawab mile ga” aisa karna behtar hai. waise tahajjud mein surah fatiha ke baad koi si bhi surtain parh sakte hain. Koi qaid nahi.
SURAH SAJDAH : 16
Unki Karwatien Jooda Hoti hain Khwaab-Gahon Se Aur Apne Rab Ko Pukarte Hai Darte Aur Ummid Karte, Aur Hamare Diye se Kuch Khairaat Karte Hai. To Kisi Jee Ko Nahi Ma’alum Jo AANKH KI THANDAK unke Liye Chhupa Rakkhi hai Sila Unke Kaamon Ka.
Related Source:
Raat Mein Uthne ki 4 Batini Shartain Yeh Hain
This post is very nice