- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
” Mashriq wo maghrib me jo musalmaan bhi mujh par salaam bhaijhta hai mai aur mere Rab ke farishte unke bhaijhe hue salaam ka jawaab dete hain.
(Hilyatul Aowliya,pg: 349)
- Ek Martaba HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam se arz kiya gaya:
Wo jo Aap par Nazdeek se durood bhaijhte hai, Dur se Durood bhaijhte hai, aur baad me aane wale bhi bhaijhinge, kya ye sab Durood Aapko Pesh kiye jate hain ?
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
” MAIN AHLE MOHABBAT KA DUROOD KHUD SUNTA HU AUR UNHE PEHCHANTA HU ”
(Dalailul Khairaat,pg:49)