Ache Aqlaq

good manners in islam
good manners in islam
good manners in islam

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Ache aqlaq khata’on ko is tarah pighladete hain jis tarah paani baraf ko, Aur bure aqlaaq amal ko is tarah kharaab kardete hain jis tarah sirka shahed ko kharaab kardeta hai.

(Tabrani Kabeer, hadith no:10626)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
    Aye Abu bakar! Qasam hai us zaat ki jisne mujhe haq ke saath bhaijha hai,
    MERI HAQIQAT KO MERE RAB KE SIWA KOI NAHI JANTA.
  • HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya: Jisne mere sahaba ko bura kaha to us par ALLAH TAALA ki tamaam farishtou ki aur tamaam insaanou ki LANAT hai.
    (Al Moujamul Kabeer,Hadith No:12709)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
    ALLAH TAALA ko wo amal bahut pasand hai jisko karne wala use hamesha pabandi se kare.
    (Sahih Bukhari,vol:1,pg:121)
  • Aur Jab HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam Guftugu farmate hain to tamaam Ashaab Apni Awazen past (nichi karlete),
    unke dilou me Aapki Aisi Azmath, Haibat, Izzat wo Taqaddus aur tazeem o Adab tha ke jiske peshe nazar Koi shakhs Aapki Janib Aankh bhar kar nahi dekhte…
    (Sahih Bukhari,vol:1,pg:379)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *