Ahle Jannat ke sar par aise Taj honge

Hadith

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Ahle Jannat ke sar par aise Taj honge jinka chote se chota moti bhi Mashriq wo maghrib ke darmiyan ki chizon ko roushan kardega.

    (Jame Tirmizi,Hadith no:2562)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Musalman jab koi darakht lagata hai aur us se koi aadmi ya jaanwar khaye to wo uske liye sadqa hota hai.

    (Sahih BUkhari,Hadith no:958)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Meri ummat ke Rahem dil logon se apni muraden mango, aur unke qareeb raha karo, kyun ke meri rehmat unhi me hai, aur sang dil logon se muraden na mango, kyun ke wo meri narazgi ke muntazir hai.

    (Kanzul Ummal, hadith no:16802)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *