ALHAMDULILLAH

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam se jab bhi koi cheez maangi jaati to Aap ne Kabhi “NA ” nahi farmaya.

    (Sahih Muslim,vol:1,pg:253)

  • Aur Yaqinan wo shakhs namuraad hua jisne thoda bhi zulm kiya ho.

    (Surah Taha:111)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jab koi qoum ALLAH TAALA ke Zikr ke liye baithti hai, to farishte unko gher lete hain, Aur Rehmat unko dhaanp leti hai, aur ALLAH TAALA Farishton ke saamne unka zikar farmata hai.

    (Sahih Muslim,hadith no:6855)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jab ALLAH TAALA kisi bande ko koi nemat ataa farmata hai aur wo banda uspar ALHAMDULILLAH kahe, to jo nemat usne hasil ki hai us se behtar diya jayega.

    (Sunan e Ibne Majah,hadith no:3805)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Ibne Aadam ki jo ghadi bhi ALLAH TAALA ke zikar se khali guzar gayi wo qayamat ke din hasrat wo afsoos ka sabab hogi.

    (Al Jame Al Sagher,hadith no:8045)

  • Jisne Quraan padha aur apne rab taala ki tareef ki aur NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam par Durood padha aur apne rab se maghfirat talab ki to usne khair ko uski jagah se talash karliya.

    (Baihaqi shubul Imaan)

     

     Related Links:

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *