- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
ALI (raziallahu taala anhu ) Quraan ke saath hain aur Quraan ALI (raziallahu taala anhu ) ke saath hai, wo dono hargis juda nahi hosakte yaha tak ke Houz e Kaousar par wo dono mere paas saath saath aayenge.
(Mustadrak Alas Sahihen, hadith no: 4604)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
Quraan shareef ki tilawat kiya karo, isliye ke Qayamat ke din apne padhne wale ki shafa’at karega.
(Sahih Muslim , hadith no :1874)
- Hazrath Imaam Husain raziallahu taala anhu ke Sabar wo raza ki badoulat aaj HAQ TAALA ne AAPKE NAAM E MUBARAK ko Baland o Bala farmadiya itna hi nahi balke aaj aur ta qayamat tak AAPKI ZAAT BA BARKAT har musibat me Sabar ki talqeen ka dars deti hai.
Salaam ya Husain ibne Ali
- Jis shaqs ko Gussa ziyada aata hai,
wo shaqs pyaar bhi utna hi karta hai,
aur utni hi saaf Dil rakhta hai!!(Hazrath Ali Raziallahu Ta’la anhu)