Tamaam Tarife us Allah ke liye hai jisne insaan ko apni tamaam makhluqat me subse ziyada izzat wa azmatwali makhluk karar diya.
Zameen wa Aasman ki tamaam nemate insan ke fayde ke liye paida farmayi.
Yaha ki har chiz Allah ta’ala ne humare liye banai hai.
Ye chand, Suraj, Tare chamakte hai insan ke liye.
Yaha Allah ta’ala ne Hawa,Pani jaisi azim nemate humare liye paida farmayi hai
Aur subse Ahem ki Allah ne insan ko “ilm wa Akal” ata kiya. Behtar surat ke sath paida kiya.
Karodo shukra Allah Rabbul izzat ka aur beshak tamam tarife sirf usi ke liye hai. Jo hai do Jahano ka palnewala. Hum subka parwardigar.
Surah Ikhlas:
Bismillah Ar-Rahman Ar-Raheem
Qul Huw-Allahu Ahad,
Allah-us-Samad,
Lam yalid wl lam yulad,
Wa lam yakul lahu kufuwan ahad.
TEESRA KALIMA :
Subhanallahe Wal Hamdulillahe Wa Laa ilaha illal Laho Wallahooakbar. Wala Haola Wala Quwwata illa billahil AliYil Azeem.
Translation :
Paak Hai ALLAH aur tamam tareef ALLAH hi ke liye hai aur ALLAH ke siva koi maabud nahin aur ALLAH sab se bada hai…
Aur gunahon se bachne ki taqat aur naik kaam karne ki kuwat ALLAH hi ke taraf se hai jo AALISHAAN aur AZMAT wala hai.
DUA:
Aye Allah Hum gunahgaro ko Teri sachchi Mohabbat ata farma.
Beshak humare pas koi nek aamal nahi he. Tu apna Nazre karam hum pe jari farma.
Hame Deen ki taraf mod de.
Hum tere imtehan ke kabil nahi he mere maula.
Tu Raheem hai Rahem Farma
Tu Kareem he Karam farma.
Jis rah par tu razi he Ya Allah hume us rah pe chala aur kayam rakhna.
Beshak tu subke dilo ke raz jannewala hai humari duao ko kubool farma.
Aur Apne Pyare Aaqa ki Sunnato par zindagi basar karne ki taufiq ata farma
Aameen (Awwal Aakhir Durood)
Related Links:
Allah
99 Names of Allah
Takbeer – Allah Hu Akbar