- HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Jab Raat ko Tashreef laate to Fiza me KHUSHBOO ke phelne se AAP Sallallahu alaihi wasallam ki pehchan hoti..
(Musannaf Ibne Abi Shaiba;hadith no:2632)
- Raat ko sote waqt sonchna chahye ke aaj kitne neik kaam kiye.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- Dua mangte raho kyun ke mumkin aur namumkin to hamari sonch hai ALLAH TAALA ke liye kuch bhi namumkin Nahi.
- Jis shakhs ne namaz qayem ki, zakaat adaa ki, Baitullah ka haj kiya, ramzan ke roze rakhe, aur mehmaan nawazi ki wo jannat me dakhil hoga.
(Shubul Imaan,Hadith No:9593)
- Jis Dil me ALLAH ka zikr jaari rehta hai wo dil hamesha zinda rehta hai.
(Hazrath Baba Farid gunj e shakar rahmatullah alaih)