- Momin pareshaniyon aur mushkilon par sabar kiye bagair Imaan ki mithas ko nahi paasakta.(Hazrath Junaid Baghdadi rahmatullah alaih)
- Sab Namazon ki hifazat kiya karo, aur khaas tour pe darmiyani namaz (yane Asar) ki, Aur ALLAH TAALA ke saamne Sarapa Adab wo niyaz ban kar qiyam kiya karo.(Surah Al Baqarah:238)
- NABI E KAREEM ﷺ ne irshaad farmaya:
ALLAH TAALA irshaad farmata hai:
Jo log meri Azmat aur jalaal ki wajeh se Apas me Mohabbat rakhte hain, Qayamat ke din unke liye Aise Noor ke member honge jin par Ambiya aur Shuhada bhi rashk karenge.(Jame Tirmizi,Hadith no:2390) - NABI E KAREEM ﷺ ne irshaad farmaya:
Jisne kisi musalman ko takleef di usne Mujhe Takleef puhanchayi, aur jisne Mujhe Takleef puhanchayi usne ALLAH ko takleef puhanchayi.
(Al Moujamul Aousat,Hadith no:3745) - NABI E KAREEM ﷺ ne irshaad farmaya:
Har Raat ko ek aisi ghadi aati hai jisme jab koi musalman ALLAH TAALA se Duniya wo Aakhirat ki jo (Jayez) cheez bhi maange,
ALLAH TAALA use ataa farmata hai.(Al Targheeb wal Tarheeb,hadith no:971)Related Links :
TAHAJJUD AUR WITR
Namaz e Tahajjud Ki Ahmiyat