- Hasad nekiyon ko aise khaa jaata hai jaise aag lakdi ko aur sadqa gunahon ko aise bujhaata hai jaise paani aag ko
(Sunan Ibn Majah, Hadith No.4200)
- Dunyadaari naam hai Allah se ghafil hone ka, Zarooriyaate Zindagi aur baal bacchon ki parwarish karna dunyadari nahi hai.
(Hazrath Sheik Saadi rahmatullh alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam se Aoouliya Allah ke bare me pucha gaya to Aap ne Irshaad farmaya:
Wo log jinhe dekhne se ALLAH yaad aajaye.(wo aouliya Allah hain).
(Sunan e Nasai,hadith no:11235)
- Hazrath Syeduna Hassan bin Sabit raziallahu taala anhu farmate hain:
YA RASOOLALLAH! ﷺ Aap jaisa Haseen meri Aankh ne kabhi nahi dekha aur Aap jaisa Husn o jamaal wala kisi khatoon ko tawallud hi nahi hua,
Aap har Aaib o Alaesh se paak paida kiye gaye goya Aap ko is shaan ke saath paida kiya gaya Jaisa Aap chahte the…..
- ALLAH ko Razi karne ka behteren waqt Tahajjud ka hai..
- IRSHAAD E ILAAHI HAI:
Aye Habeeb!(sallallahu alaihi wasallam) Aap farmadijiye! Main tum me se us par kuch ajar nahi chahta ho siwaye Qarabat darou ki Mohabbat ke..
(Surah Shouraa:23)
- Apni lambi lambi umidou ko kam karo aur hirs ko kam karo, isliye ke tumhe anqareeb marna hai.
(Hazrath Sheik Abdul Qader jilàni raziallahu taala anhu)