Allah Subha na Taala in apne Habeeb ﷺ ko tamaam Nabiyoun ka sardar banakar

aayaat-surah-al-hizab

Allah Subha na Taala in apne Habeeb ﷺ ko tamaam Nabiyoun ka sardar banakar us par char daang aalim main jalwagar farmaya, Aap ﷺ hi ki mubarak hasti ko qatm Nabuwat ka taj pahnaya, ab koi Nabi Ya Rasool aane wale nahi, Aap ﷺ hi ki Risalat wo Nabuwat qaym rahegi. Allah Taala deen Islam ki Tableegh wo Tajdeed ke liye, ahkaam Deen ko pehlane aur Sunnatau ko zinda karne ke liye Huzoor Akram ﷺ ki ummat main aisa ulmai Rabbaniyn wa Daeyan Islam, Mujaddene Asr wa Fuqha-e-Aalaam paida farmata raha jin hone Islami talimaat aam kiy, Usne aise nafoos Qdsiya ko taufeeq Qair baqshi jo tablig Islam aur Ashaate deen ki rah main na baadshah se darte hain na lashkar wo sipah se, koi madi taqat unke azm msmum ko nahi badal sakti, inhe Allah ke siwa kisi ka qauf nahi rahta.

Aise hi paakbaaz bandau ke mutaliq Rab ul Aalamin apne Kalaam Majeed main Irshaad farmata hain:

aayaat-surah-al-hizab
aayaat-surah-al-hizab

In do Aayaat shareef main Allah Taala ne Huzoor ﷺ ki Azmat wa Rafaat bayaan farmai ke Aap ﷺ Qatim ul Ambiya-e-Mursalin hain aur apne Mahboob bandau ka bhi zikr farmaya. Unke jazbe-e-Imani aur Deeni Hamiyat ko Aashkaar farmaya aur unki tabligi fikar ko ujagar farmaya ke wo Allah Subhana-wa-Taala ke paigam ko bandau tak baqobi pauchaya karte hai. Paigam Ilahi aam karne se mutaa-liq koi cheez unke ke liye rukawat nahi banti.

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *