ALLAH TAALA ke raazi hone ki nishani ye hai ke

Sin hadith

Allah

Hazrath Hasan Basri rahmatullah alaih farmate hai :

ALLAH ki qasam! momin wo nahi hai jo ek mahina do mahina ya saal do saal amal kare,

balke momin wo hai jo hamesha ALLAH TAALA ke hukum par chale aur ALLAH TAALA ki pakad se darta rahe.

  • 4 qisam ke log aise hain jinhe ALLAH TAALA na jannat me dakhil karega aur na hi uski nematen chakayega.

1) Sharaab ka aadi
2) So’od khane wala
3) bagair haq ke yateem ka maal khane wala
4) waliden ka nafarman.

(Al Mustadrak,Hadith no:7230)

  • Qayamat ke din har shakhs apne sadqe ke saaye me hoga jab tak ke logou ka hisaab khatam na hojaye.

(Musnad Imaam Ahmed,Hadith no:17333)

  • Dunya ki Mohabbat khatam hone ke baad ALLAH TAALA ki Rahmaton ka nuzul hota hai, ALLAH TAALA use apna muqarrab banaleta hai.
    (Hazrath Sheik Abdul Qader Jilaani Rahmatullah Alaih)
  • ALLAH TAALA ke raazi hone ki nishani ye hai ke banda uski taqdeer pe raazi ho.

(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)

 

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *