- NABI E KAREEM (صلى الله عليه و سلم) ne irshaad farmaya:
Tumhare paas Raat ke farishte aur din ke farishte baari baari aate hain,
Aur wo Fajar ki Namaz me aur Asar ki Namaz me jama hote hain,
Phir jin farishton ne tumhare saath raat guzari thi wo upar jate hain,
ALLAH TAALA unse Sawaal karta hai halanke wo unse zyada Janne wala hai:
Tumne Mere bandon ko kis haal me choda?
Wo kahenge ke hum ne unko is haal me choda ke wo Namaz padh rahe the aur jab hum unke paas aaye the to wo Namaz padh rahe the.
(Sahih Muslim,hadith no:1405).
- Hazrath Anas raziallahu taala anhu farmate hain:Koi kasturi kabhi koi atar aisa nahi sungha jo HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ke Pasine mubarak se zyada khushboo daar ho.
(Shamail e Tirmizi)
- Aye Imaan walo ! Tum Apne Sadqaat ko Ehsaan Jatlakar aur Dil Dukha kar us shakhs ki tarah zaaye mat karo, jo logon ko dikhane ke liye apna maal kharch karte hain.(Surah Al Baqarah :264)
- ALLAH TAALA Ki Mohabbat ki nishani ye hai ke Banda Ibadat e Ilaahi me Sakht se Sakht Takleef bardast kare , kyun ke Mohabbat Aaraam se hasil nahi hoti.(Hazrath Sayeed Rahmatullah Alaih)