NABI E KAREEM (ﷺ) ne irshaad farmaya:
ALLAH TAALA ne jab Hazrath Adam alaihissalaam ko paida farmaya to unhe unki Aoulaad dikhayi,
To unho ne ek ko dusre par saheb e karamat wo fazilat dekha,
Phir unho ne unke darmiyan me ek chamakta NOOR dekha, uspar Aapne Arz kiya:
Aye Mere Rab! Ye NOOR kiska hai?
ALLAH TAALA ne irshaad farmaya:
Ye Tumhare farzand e Jaleel Ahmad e Mujtaba MOHAMMED MUSTAFA (ﷺ) hai,
YEHI AWWAL HAI, YEHI AAKHIR HAI, AUR YEHI SAB SE PEHLE SHAFA’AT KARNE WALE HAI.
(Baihaqi,khasaisul kubra,vol:1,pg101)