Syeduna Jaber bin Abdullah Ansari Raziallahu anhu ne farmaya:
main ne Hazrath RASOOLULLAH Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e babarkat me arz kiya: YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam! Mere Maa baap Aap par Qurban !
Mujhe batlaye ke ALLAH TAALA ne tamaam cheezon se pehle kis cheez ko paida farmaya?
Aap ne irshaad farmaya: Aye Jaber ! Beshak ALLAH TAALA ne tamaam kayenaat se pehle tumhare NABI Ke Noor ko Apne Noor se paida farmaya,phir wo Noor Qudrat e Ilahi se jaha chahta tha sair karta raha, us waqt looh thi na qalam, Jannat na Dozaq, Aasmaan na Zameen , Chand na Suraj, aur na Jin na Insaan..
(Al Mawahib Ul Ladunniya,vol.1,pg:89)
Related Link:
MERE AAQA KO NOOR