- Hazrath Anas raziallahu taala anhu farmate hain:
Koi kasturi kabhi koi atar aisa nahi sungha jo HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ke Pasine mubarak se zyada khushboo daar ho.
(Shamail e Tirmizi)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Apne musalman bhai ki musibat par khushi ka izhaar na karo, warna ALLAH TAALA us par Reham farmayega aur tumhe usme mubtala kardega.
(Jame Tirmizi,hadith no:402)
- ALLAH TAALA se Faida mand ilm ka sawaal karo, aur befaida ilm se ALLAH ki panah mango.
(Sunan e Ibne Majah,hadith no:3843)
- Quraan e majid ki tilawat se afzal koi ibadat nahi.
(Hazrath Baba Farid uddin Ganj e Shakar rahmatullah alaih)
- Ibadat Insaan ko ALLAH TAALA se Milane ka sabab hoti hai.
(Hazrath Mujaddide alfe saani rahmatullah alaih)