- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALLAH TAALA se uska Fazal talab karo.
(Jame Tirmizi)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALLAH TAALA ne jab Hazrath Adam alaihissalaam ko paida farmaya to unhe unki Aoulaad dikhayi,
To unho ne ek ko dusre par saheb e karamat wo fazilat dekha,
Phir unho ne unke darmiyan me ek chamakta NOOR dekha, uspar Aapne Arz kiya:
Aye Mere Rab! Ye NOOR kiska hai?
ALLAH TAALA ne irshaad farmaya:
Ye Tumhare farzand e Jaleel Ahmad e Mujtaba MOHAMMED MUSTAFA Sallallahu alaihi wasallam hai,
YEHI AWWAL HAI, YEHI AAKHIR HAI, AUR YEHI SAB SE PEHLE SHAFA’AT KARNE WALE HAI.
(Baihaqi,khasaisul kubra,vol:1,pg101)
- Bande ki behtari kis cheez me hai ALLAH bande se behtar janta hai.
- Jo shakhs nasihat karne walou ko acha nahi janta iski wajeh ye hai ke wo guroor aur takabbur me mubtala hai.(Hazrath Imaam Ghazali rahmatullah alaih)
- Jise hai talab sukoon ki Dar e Mustafa ﷺ par jaye,
Wo Naseeb Jaghmagaye wo khuraak dil ki paaye.Dar e Mustafa ﷺ ki Azmath ka Suboot aur kya ho,
Yaha Badshah bhi aaye to Faqeer banke aaye… - Takleef wo musibat ke waqt jo momin sabar aur raza se kaam leta hai aur ALLAH TAALA ka shukar adaa karta hai, To ALLAH TAALA us se razi hojata hai aur use madad aur amal ki toufeq milti hai.(Hazrath Sheik Abdul Qader jilani raziallahu taala anhu)