- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam se jab bhi koi cheez maangi jaati to Aap ne Kabhi “NA ” nahi farmaya.
(Sahih Muslim,vol:1,pg:253) - Aye Imaan walo! (kisi bhi mamle me ) ALLAH AUR USKE RASOOL (sallallahu alaihi wasallam) se aage na badha karo aur
ALLAH se darte raho (ke kahi RASOOL sallallahu alaihi wasallam ki be adabi na hojaye).
(Al Hujraat:49) - ALLAH TAALA apne bandon ko unke Imaan ke mutabiq musibaton me daalta hai.
(Hazrath Sheik Abdul Qader jilaani raziallahu taala anhu) - ALLAH walon ka maqaam bahut buland hai, ye to farishton ko bhi hasil nahi.
(Hazrath Khawja ghareeb nawaz rahmatullah alaih) - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam (Maghrig ki ) Namaz se pehle Chand Taaza khajoron se Roza Iftaar farmate agar Taaza khajoren na hoti to khusk khajorou se roza iftaar farmate agar ye bhi na hoti to paani ke chand ghont noush farmate.
(Jame Tirmizi,Hadith No:699)
- Neik bandon ke liye jo jannat tayyar ki gayi, usme aisi aisi chezen hain ke jinko kisi aankh ne nahi dekha aur na kisi kaan ne suna aur na kisi insaan ke dil me uska wahem guman tak ayaa…
- Jab tak tumhe Mout ne muhallat de rakhi hai tum neik amaal me ek dusre se aaghe badhne ki kosish karte raho is se
pehle ke mout aajaye aur neik amal karne ka mouqa na mile.
(Hazrath Abu Bakar Siddiq raziallahu taala anhu)