Allama Iqbal Poetry

Allama Muhammad IqbalAllama Muhammad Iqbal

Mannat Kyun Maangte Ho Auron Ke Darbar Se ?
Aisa Kaunsa Kaam Hai Jo Hota Nahi Tere Parwardigar se ?

Guzar Gayi Namaz-E-Fajr
Aur Tu Sota Raha…
Qeemti Waqt Ko Khawaboun Me Khota Raha…..

Subha Namodaar Hui Par
Tu Bedaar Na Hua…
Umar Bhar So Kar Bhi Tu
Bezaar Na Hua…..

Aayi Zohar Toh Tujhe Kaam
Ne Uljha Diya….
Be Namaazi Bana Kar Kitna
Tujhe Phansa Diya…….

Milega Rizq Tujhe Namaz Ke Baad Bhi…..
Palega Tera Ghar Namaz Ke Baad Bhi……

Dekh Aagayi Namaz-E-Asar
Tawaani lekar……
Quwwat Hai is Me Tu isse Adaa Kar….

Tandrust Hai Aaj Tu Yeh Shukr Ada Kar……
Badan Ko Apne Sajdoun Ki Lazzat Diya Kar…….

Chal Diya Aftab Ab Ghuroob Hone Ko…..
Namaz-E-Maghrib Hai Ab Shuru Hone Ko….

Khatam Ho Gaya Teri Zindagi Ka Ek Aur Din……
Chala Gaya Yeh Bhi Haath Se Tere Nekiyon Bin…..

Ab Tujhe Chahiye Raahat Sone Se Pehle…..
Isha Padh Le Apni Zindagi Khone Se Pehle…..

Payega Sukoon Tu ALLAH Ke Zikr Me Hi….
Milega Qaraar Tere Dil Ko issi Fikr Me Hi…

                            ✍Allama Iqbal

allama iqbal in english

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *