- Zindagi us waqt bahut zyada khubsurat hoti hai jab ke har cheez me ALLAH TAALA ka Shukar adaa kare,
Jo cheez jaa chuki hai uspar bhi,
Jo cheez ab hamare paas hai us par bhi,
Aur Jo cheez milne wali hai us par bhi… - Jo shakhs har amal e khair ko ALLAH TAALA ki taraf se jaanta hai aur ye samjhta hai ke us amal e khair ki toufeeq ALLAH TAALA ne Mujhe di hai, aur nafs ko usme dakhal nahi deta to wo khudpasandi aur takabbur se mahfooz rehta hai.
(Hazrath Sheik Abdul Qadir Jilaani raziallahu taala anhu) - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Tum me sab se behtar shakhs wo hai jiski umar zyada ho aur Aqlaaq ache ho.
(Sahih Ibne Hibban) - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
ALLAH TAALA ko wo amal bahut pasand hai jisko karne wala use hamesha pabandi se kare.
(Sahih Bukhari,vol:1,pg:121)Related Searches :
Islamic Amal