- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jis neik kaam se pehle ALLAH TAALA ki hamd aur Mujh par Durood na padha gaya usme barkat nahi hoti.
(Kanzul Ummal,hadith no:2507)
- ALLAH TAALA ka irshaad hai:
Aur jab log apne upar zulm kare to Aap (sallallahu alaihi wasallam) ke darbaar me hazir ho aur ALLAH se maghfirat chahe aur RASOOLALLAH sallallahu alaihi wasallam unki sifarish farmayen to zaroor ba zaroor ALLAH ko Khoob Tauba Qubool karne wala Bahut Rahem karne wala payenge.
(Surah Al Nisa:64)
- Tum JANNAT Me Dakhil Nahi HogeJab Tak Tum Emaan Na Lao Aur Tum Momin Nahi Ho Sakte Jab Tak Ke Tum Ek Dusre Se Muhabbat Na Karo. Kya Main Tumko Aisi Cheez Na Bataoun Jis Par Amal Karo Toh Ek Dusre Se Muhabbat Karne Lago? Apne Darmiyaan ” SALAM ” Aam Karo.
{Abu Dawood, Hadees: 51930}
- Thanda paani Aagh ko jis tarah se jaldi bujha deta hai , Durood Shareef ka padhna gunahon ko us se bhi jaldi mita deta hai.
(Hazrath Abu Bakar Siddiq raziallahu taala anhu)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo shakhs meri ziyarat ke Iraade se ( Madine Munawwara) hazir ho, Qayamat ke din wo mera hamsaya aur meri panah me hoga.
(Shubul Imaan,Hadith No:3994)
- HUZOOR (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam) ki qidmat me Ek Sahabi ne arz kiya:
Ya Rasoolallah! (Sallallahu alaihi wasallam) Imaan Kya Hai?
To HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne Farmaya:
“Jab Tumhe Neki Karke Khushi Ho Aur Gunaah Karke Afsoos Ho To Tum Imaan Waaley Ho!”
(Mishkaat, Kitaabul Imaan)