Apni Zindagi me Namaz ko Pehla Maqaam Doge to Baaqi Tamaam

hadith
  • ALLAH TAALA KA IRSHAAD HAI:Beshak hum ne Aapko (Aye Habeeb sallallahu alaihi wasallam khair wo Fazilat me ) Be Inteha kasrat Baqshi hai.

    (Surah Al Kousar:1)

  • Jab tum apni zindagi me Namaz ko pehla maqaam doge to baaqi tamaam chezon ko uske sahih jagah pe paouge.
  • Takleef wo musibat ke waqt jo momin sabar aur raza se kaam leta hai aur ALLAH TAALA ka shukar adaa karta hai, To ALLAH TAALA us se razi hojata hai aur use madad aur amal ki toufeq milti hai.

(Hazrath Sheik Abdul Qader jilani raziallahu taala anhu)

  • Habeeb bin yusaaf raziallahu taala anhu farmate hai:

Main HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke saath ek jihad me shareek tha,

Mere kandhe par talwaar ki maar lagi jiski wajeh se mera haath kat gaya,

Main HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat me hazir hua,

Aapne LU’AAB E DAHAN E MUBARAK laga kar jodh diya aur wo judh kar thik hogaya,

Phir main ne us maarne wale ko qatal kiya.

(Al Khasa’es Al Kubra,vol:2,pg:167)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Narmi jis cheez me bhi ho use khubsurat kardeti hai, aur jis cheez se narmi nikal jaye use badsurat kardeti hai.

(Sahih Muslim,Hadith No:2594)

 

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *