* Agar Raasta Khubsurat Hai To Pata Karo ke Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khubsurat Hai To Raste Ki Parwah Mat Karo.
* Zindagi Ki Har Mod Par Sulah Karna Sikho Kyu Ke Jhukta Wohi Hai Jis Mein Jaan Hoti Hai Aur Akadna To Murde Ki Pehchaan Hoti Hai.
* Jis Shaks Me Wafadari Na Ho Uske Saath Dosti Karne Ka Matlab Khud Ko Zaleel Karna Hai. Zindagi ko is Tarah jiyo jaise hamesha zinda rehna hai. Aur Aakhirat ki fikr aise karo jaise Agle hi Pal Marr Jana hai.
* Zindagi Ko Zaruriyat Ki Taraf Le Jao Khwahishat Ki Taraf Nahi. Kyunki Zaruriyat To Faqeeron Ki Bhi Poori Hoti Jati Hai Aur Khwahishat Baadshahon Ki Bhi Adhoori Reh Jati Hai.
* Yeh Zindagi Do Din Ki Hai: Ek Din Tumhare Haq Me Aur Ek Din Tumhare Khilaf. Jis Din Tumhare Haq Me Ho Us Din Ghuroor Mat Karna Aur Jis Din Tumhare Khilaf Ho Us Din Sabr Karna.
*Jis ka Rabita Allah Se ho Wo Nakam Nahi Hota, Nakam Wo Hota Hai Jis ki Ummidain Dunia Se Wabasta Ho.
Related Links:
Beautiful Golden Quotes of Hazrat Ali
25 Inspiring Quotes by Imam Ali